Mobi Groups
Download Free Apps & Games @ PHONEKY.com

UrdUMaG - Topics
Create Your Own App Store

* UrdUMaG > Topics


Subject: ~*~*~BAZM E ADHAB~*~*~
Replies: 399 Views: 15650
1-> 7->>

xxkamixx 9.03.10 - 01:50pm
adaab , salam , namaste . Hello . . Urdu adhab pe pehle se bohat se topic mojood thaye , new topic ki koi zaroorat to nahi thi . Mager meine ye mehsoos kia ke jahaan shairy likhi ja rahi hay wahaa,n pe iqtebas nahi , nazam ya gazal to afsana ya kahani nahi . Or sub se ehm bat jo honi chahiay wo hay radh e amal . . Sub action ho raha hay . . Kaheen b reaction nahi . .bazm e adab mein na sirf apko sher likhne ki . Ya iqtebas paish kern ki ejazat hay , uske sath sath aap kisi ki , tehreer pe behs bhi ker sakte hein . . Tareefun ya tanqeedan ! . Mager !!!! . Adhab ke sath . . Shukria . *

xxkamixx 9.03.10 - 01:54pm
ibteda mein hi ker deta hoon . Faiz sahib ka aik sher hay .IK FURSAT E GUNAH MILI WO BHI CHAAR DINN . DEKHE HEIN HOSLE MEINE PERWER DIGAAR KE . *

xxkamixx 9.03.10 - 02:06pm
faiz sab ki shairy or unki zindagi ke mutaluq bohat kuch likha or kaha jata raha hay . . Tanqeedn or tareefun bhi . Us se qata nazer . aik bat jo faiz sab ke haq me hamaish rahi wo ye thi ke aap ke fan , apke madha, ne apko kabi mujrim nahi mana . ye aik bohat badi bat hoti hay ke jub kisi ko adalat e wakt bhi mujrim karar de to awaam uske sath khadi ho. Payar kerti ho ! . Aisa kiun ? . . Shaid iski wajah faiz sab ka wo kalam tha jis ko hamisha awan ne saraha . . . Mager jab is sher ki bat hoti hay to kia kaha jaaye ? *

xxkamixx 9.03.10 - 02:13pm
awaam ne . , *

mastkuri 9.03.10 - 02:53pm
khoobsurat topic start kia hai kamran aapne umid karti hoon keh is topic ke tawasut se hamain bhohat kuch seekhne ko mile ga. *

mastkuri 9.03.10 - 02:55pm
Gulon mein rang bhare baad-e-naubahaar chale
Chale bhi aao ke gulshan ka kaarobaar chale

Qafas udaas hai yaaro saba se kuchh to kaho
Kahin to bahr-e-Khuda aaj zikar-e-yaar chale

Kabhi to subah tere kunj-e-lab se ho aaghaz
Kabhi to shab sar-e-kaakul se mushakbaar chale

Bara hai dard ka rishta yeh dil gharib sahi
Tumhare naam pe aaenge ghamgusaar chale

Jo hum pe guzri so guzri magar shab-e-hijraan
Hamaare ashk teri aaqbat sanwaar chale

Maqaam Faiz koi raah mein jacha hi nahin
Jo kue yaar se nikle to sue daar chale *

xxkamixx 9.03.10 - 03:58pm
wah . Bohat ache . . Shukria kuri . Apke topic pasnd kerne ka . . . Gulo me rang bhare bad e nau bahar chale . Chale bhi aao ke gulshan ka kar o bar chale . . Kia kehne . . . Faiz sab ke . . Or mehdi hasan sab ke . . Ye galzal ab mehdi hasn ki ho ke reh gai hay .faiz sab ki nahi rahi . Bohat khoob ! *

ajnabii 9.03.10 - 08:33pm
wah janab kia baat hai Itne khoobsurat topic ko shuru karne pe mobarak baad qabool farmaiye hazrat. *

xxkamixx 9.03.10 - 11:40pm
ajnabi bhai bohat nawazash. credit to mehez apko jata hay iss liay apko bhi mubarak! *

xxkamixx 11.03.10 - 12:05am
ism e be musamaa

ism e ba musama se to aap wakif hi hoon gaye or jo iska matlab nahi jaante wo DIPTY NAZEER EHMAD ke navol padh lein, maloom ho jaye ga . iss ke ber akss ISM E BE MUSAMA se apka taraf hum kera dete hein .
duniya mein qaleel ter arsa e qayaam mein humara sabqa bade bade naamo se pada lekin haram hey , inn mein se aik bhi apne naam ki khasoosiyaat per poora utra ho,
chalein yahaan tak bhi darust hay ke naam ke muafaq na sahi, lekin naam ke mukhalif to na hoon.
thehrein sab , baat aise apko samajh nahi aaye gi !!!kuch amli misaalein paish kerta hoon.

go raaz ki baatein hein phir bhi batata hoon faraz.

ibteda apne ghar se kerni chahiaye ( yaad rahe ke apno ki baat kerte huay zara aqraba perweri ka kuch muzahira bhi kerna padta hay, kiun ke aaj kal zamane ka chalan hi kuch aisa hay ) lehaza !!!!

baat apne 1st cosin se shuru kerte hein jin ka naam FAYAZ hay. *

xxkamixx 11.03.10 - 12:20am
nam ke ber aqss , aaj tak unn mein fayazi wali koi baat nahi dikhaai di. doosroo.n per lugana to door ki baat apno per kharach kerna bhi asraaf jante hein mosoof. 25saal se lee jane wali tankha or ikhrajaat ka hisaab unki jaibi diery mein dekha ja sakta hay. sadqa fiter lena apna pedaaishi haq samajhte hein. or hum se chheen jhapat ker bhi le lete hein ke falaa,n ko dena hay. mager !!! sahab kahaa,n ? ,,sirf aik dafa ka ziker hay (un ki direy mein ) ke aik mazoor shakhs ko uss ki intehaai ahh o zaari ke badh 2 rupay de baithe . uss ke badh se mazkoora waqe ka aisa aser lia ke ab dil ke mareez hein or uthhte baithte uss mazloom ko mghallzaat ke tohhfe bhejte rehte hein lekin apne elaaj per rupya lugna bhi janab ke nazdeek gunahh e kabeera hay.
sabat ye hua ke , fayaz , kajooso.n ke chief of staf hein.
isse urff e aam mein ISSM E BE MUSAMAA kehte hein. nahi ayaa apki samajh mein ? *

xxkamixx 11.03.10 - 12:47am
misaal munber 2 dekhiay !!
AAQIL , humare dost hein.
ap innhein humara nadaan dost bhi keh sakte hein. kuin ke aaj tak mossof ki aqal ki waja se jo nuqsaan humko uthaane pade hein , uski tawaqo hum ko dushmano se bhi nahi thi, or ye hazrat unnjane mein pohncha gaye.
janab ko kuch raqam ki zaroorat thi, aik sufaid ba raish admi , jo 5nch wakat namazi thay or muhalae mein jinka totee bilta tha, unn se kuch bhalle logo ne AAQIL ko qarz e hasna ke tor per kuch raqam dilwa di , or return mein dawat ka mutalba kia !
dawat to unnho ne khoob khilaai !!!
muhalay mein mash_hoor ker ker dia ke , dawat ki soorat mein ye log SOODH khate hein.
or baraish sahab inn soodh khoro ke sarghanna hein .
baat itni badhi ke namaazio.n ko muhala chodna pada , or aaqil sab ye kehte rahe ke dekha !!! suche hote to aise bhagte ?
hum ne kaha ke unko raqam to lota do! kehne luge bhagte chor ki lungoti hi sahi tumare pait mein kiun dard ho raha hay . hum apna se mu.n le ke reh gaye .
aik bar train ke safer ke doraan ticket officer ne ticket manga to kehne luge , abba ke pas hay . uss ne poocha ke abba kidher hay ? aaqil ne ber jasta jawab dia , udher berth per late hein , per unnho ne kon sa ticket lia hay , jo tum check kero gaye ?
ticket officer ne bade mia ko masnooi neendh se be daar kia , or jurmana adaa kerne ke liay kaha ! phir kia hua ?!!!! wo ghul ghupada hua , ke khuda ki panah, aik hajoom aktha ho gaya. railway police bhi mangwa li gayi lekin jurmana to door ki baat , bade mia ne , mein na maanu ke musadiq , aik paai bhi adaa na ki or ghar pohanch ker , AAQIL mia ki jo thukaai hui us ki cheekein saare muhale ne sunni.
isse kehte hein ISSM E BE MUSAMAA !!!
nahi samjhe aap? *

ajnabii 11.03.10 - 08:01pm
HABIB JALIB *

ajnabii 11.03.10 - 08:55pm
By Syed Junaid Ahmed

Like the years before, Habib Jalib's death anniversary went by unnoticed. No one, not even his great admirers did anything to commemorate the sacrifices of this spokesman of the deprived class. Keeping in view such attributes of our society Jalib Sahab has rightly noted:
Ab rahen chen sey be dard zamaney waley
So gaey khuab sey logon ko jaganey waley *

ajnabii 11.03.10 - 08:55pm
Jalib Sahab was one of those rare few who fought selflessly for the rights of the awam and mazdoor. It was due to these untiring actions that he was unanimously declared Shair-e-Awam. *

ajnabii 11.03.10 - 08:56pm
It's a pitiful tradition, on part of us Pakistanis that we forget the services of our benefactors. We only remember and pay tributes to those whose services are rewarded by state authorities or the establishment. And this is only because we are not aware of the price paid by those not in Islamabad's good books. *

ajnabii 11.03.10 - 08:57pm
Jalib Sahab was always the one who was persecuted by governments due to his boldness, righteousness and courage. He faced many detentions and hardships but he could not be deviated from his uprightness. It was his firm adherence, which didn't allow him to compromise on his principles and ideologies, and compelled him to say that,
Logon pey hi hum ney jaan wari, ki hum ney unhi ki ghumkhwari
Hotey hain to hon haath qalam, shaair na banaingey darbari *

ajnabii 11.03.10 - 08:57pm
Habib Jalib staunchly believed in his ideologies. He had dedicated everything including his family in the struggle against social and economical injustices, oppression, despotism and exploitation. *

ajnabii 11.03.10 - 08:58pm
He always perceived a system of peace and justice for the people. A system that did not deny basic human rights to all of its citizens. He in caped his entire philosophy of life in these verse:

Khet waderon se le lo
Milain luteron se le lo
Mulk andheron se le lo
Rahey na koi a'ali jah

Pakistan ka matlab kia laa ilaha illalah *

ajnabii 11.03.10 - 08:58pm
An ardent believer of truth, Habib Jalib was the proponent of complete honesty and expressed truth when state functionaries considered it a sin. While following the attribute of truthfulness he was faced with several types of mental and physical punishments, including expulsion and imprisonment. However, instead of doing any harm to him, these excesses played a vital role in the reinforcement of his thoughts and ideologies. *

ajnabii 11.03.10 - 08:59pm
Such keh kay kisi daur main pachtaye nahin hum
Kirdar pey apnay kabhi sharmaye nahin hum
Zindan ke dar-o-boam hain derina shanasa
Pohnchey train sir-e-dar to ghabraey nahin hum *

ajnabii 11.03.10 - 08:59pm
In 1962, when Field Marshal Ayub Khan formulated the new constitution and was playing the flute of his administrative capabilities, Jalib called it faulty. He called it a tool of exploitation and wrote his most memorable poem Dastoor which shattered the manipulated intentions of the government. *

ajnabii 11.03.10 - 09:00pm
Deep jiska mehlaat hi main jaley
Chund logon ki khusion ko le kar chaley
Wo jo saey main har maslehat ke palay
Aisey dastoor ko subh-e-benoor ko
Main nahin maanta, main nahin maanta *

ajnabii 11.03.10 - 09:00pm
Even during the black days of General Zia's dictatorship, when all opposition was banned. Journalists, political workers, intellectuals and opponents were subjected to severe victimization by state authorities and only loyal courtiers were allowed to flourish. Habib Jalib as a symbol of courage and determination took a firm stand against the General. He strongly and boldly condemned the misguided designs of Zia's rule. *

ajnabii 11.03.10 - 09:01pm
Zulmat ko Zia, sar sar ko saba, banday ko khuda kia likhna
Patthar ko gohar, deewar ko dar, kurgus ko huma kia likhna
Ik hashr bapa hai ghar ghar main, dum ghut'ta hai gumbad-e-bedar main
Ik shakhs ke hathon muddat se ruswa hai watan dunya bhar main
Aye deedawaro is zillat ko qismat ka likha kia likhna
Zulmat ko Zia, sar sar ko saba, banday ko khuda kia likhna *

ajnabii 11.03.10 - 09:01pm
Since Habib Jalib's poetry was the voice of a common man, he always tried to do it in the language of the common people. That's why he was not only praised by the deprived and destitute, but a large number of politicians, intellectuals, bureaucrats and poets also admired and eulogised him. *

ajnabii 11.03.10 - 09:01pm
However, his long tiring and painful journey, came to an end on the midnight of 12 and 13 March, 1993. During his whole life this great person didn't accept any help or remuneration from anyone or government, although he was tempted many times. In recognition of his services, the governments of Iraq, Iran and Libya had offered financial support during his illness. But Jalib Sahab, after acknowledging their sentiments, declined any type of remuneration either by governments or individuals. *

ajnabii 11.03.10 - 09:02pm
In his last days, when he was admitted in a hospital in La , he was again offered financial assistance by the then government. He refused straight away and breathed his last as a representative of the poor and destitute. *

ajnabii 11.03.10 - 09:02pm
On the sad demise of Habib Jalib, famous poet Qateel Shifai expressed his sorrow and grief in these words

Apney sarey dard bhula kar auron ke dukh sehta tha
Hum jub ghazlain kehtey thay wo aksar jail main rehta tha
Aakhir kar chala hi wo rooth kar hum farzanon se
Wo deewana jisko zamana Jalib Jalib kehta tha *

aanchals 12.03.10 - 08:14pm
hmmmm ez too lengthy bhai jan. *

xxkamixx 13.03.10 - 12:58pm
ajnabi bhai . Bohat khoob . Shukria . Habib jalib pe ap ne aik khubsurat mazmoon ka intekhab kia . Bohat ache . . .ba maqsad or ba aser tehreer hay . *

ajnabii 13.03.10 - 02:30pm
kamran bhai welcome back janab,aur janab habib jalib sahib ke mazmoon ko pasand karne ka shukria bhi.blossom.GIF *

xxkamixx 13.03.10 - 03:24pm
zulmat ko zia , sar sar ko sab . Bunde ko khuda kia likhna . *

xxkamixx 13.03.10 - 03:25pm
dilo,n ki arz e tamana ko or kia likhna . *

xxkamixx 13.03.10 - 03:27pm
hazar dasht iss mukhtaser si rah mein hein . . . Pather ko gohar , dewar ko dar , kerguss ko huma kia likhna . *

xxkamixx 13.03.10 - 03:34pm
chala gaya hay jo JALIB , pahaad tha , usko ~ kabi kiran , kabi shabnum , kabi dua likhna . *

umeedpak 15.03.10 - 04:10pm
Awasom!! nice. *

umeedpak 15.03.10 - 04:11pm
Qudrat Ullah Shahab (or Qudratullah Shahab; 19171986) was an eminent Urdu writer and civil servant from Pakistan.

His Life

Early years
He was born in Gilgit where his father Abdullah Sahib was governor during Dogra rule. Most of his schooling was in Kashmir, and there he excelled both in Urdu and English languages. Without telling anyone he wrote an essay and won the world competition by Reader's Digest, a rare achievement for any Indian Muslim in those days. Then he came to Government College La for his college education.

Indian Civil Service *

umeedpak 15.03.10 - 04:12pm
Indian Civil Service
He was selected for Indian Civil Service and later volunteered himself for Bengal during famine years. He came under heavy fire of the authorities when he distributed one of the strategic wheat reserves to starving local community. *

umeedpak 15.03.10 - 04:15pm
Pakistan and his career
After coming to Pakistan he was first posted to Azad Kashmir at Muzaffarabad as chief secretary of the new state. From there he came to Jhang, Punjab, as Deputy Commissioner. He then served as Director of Industries of Punjab and had to mostly deal with settlement issues concerning migration. He was first appointed by Ghulam Muhammad as his personal secretary. He remained there during Iskander Mirza and Ayub Khans time. He later went to Netherland as ambassador and also served as Secretary Education. *

umeedpak 15.03.10 - 04:16pm
Retirement Years
Although he tried to resign couple of times during his career, it was not realized until he saw Yahya Khans military rule. His trouble with government circles forced him to leave Pakistan for United Nations, where he became member of UNESCO. He was denied pension from Government of Pakistan for few years. During that time in England he toured Palestine as an Iranian businessman to investigate the changes made in curriculum and education by the occupation authorities of Israel. His spying job was successful and all of his documentary evidences were accepted by UN. This mission was primarily sponsored by Arab representatives of the United Nations. *

umeedpak 15.03.10 - 04:16pm
Family
Abdullah Sahib: His father was a graduate of Aligarh, and Governor of Gilgit
Mother: Karima Bibi (Shahab wrote Maan Ji on his mother)
Iffat Shahab: Wife (A doctor by profession) died in England in early 70s
Saqib Shahb: Only son who is a Medical doctor *

umeedpak 15.03.10 - 04:20pm
Literary Circle
His circle of friends included writers like Ashfaq Ahmed, Bano Qudsia, Mumtaz Mufti, and Ibn-e-Insha. *

umeedpak 15.03.10 - 04:20pm
Major works
Shahab Nama
Maan Ji
Surkh Feeta
Ya Khuda *

umeedpak 15.03.10 - 04:21pm
His master piece, Shahab Nama, was finished but still unpublished when he died in 1986. It made him immediately a household name in Pakistan. Its idea came when he was visiting his friend Ibn-e-Insha in England and they were talking about the philosophy of life. He then started writing chapters and read them in reading circles. Some were published in newspapers and magazines. *

umeedpak 15.03.10 - 04:23pm
This collection of Qudrat-ullah Shahabs experiences includes anecdotes from the times gone by and associations with some unique and some very notable people. The first chapter itself, contains a record of Shahabs last meeting with Ibn- e Insha, a noted humorist. As we read on, we meet Lala Din from Shahabs school days, the caretaker of the school who admonishes Shahab for manually handling a mouse, which he considers to be a plague ka chuha. *

umeedpak 15.03.10 - 04:24pm
Shahabs posting at Barhampur brings us to a place, as yet unheard of, hidden from the world. With a major contingency of Hindus, the influences of Hinduism on Islam are a cause of both concern and confusion. Safdar Pandey and Kulsoom Devi, two locals, when disclosed as Muslims give an indication of the sort of influence mentioned above. It comes as a shock to learn that prayers were not considered obligatory among the Muslims in that part of the world. The only Islamic practice observed was to gather in numbers on every Thursday and kiss the fastening on the door of a Mosque, which was normally kept locked. *

umeedpak 15.03.10 - 04:25pm
The insights, the author presents on various political issues is also a reason why one should get the book. Shahab encompasses the feelings of the nation as he summarizes Ayub Khan and Sikandar Mirzas position in Pakistans politics. His visit to Makkah for Haj also makes for enlightening reading as every place, every incident accompanies some interesting commentary. *

umeedpak 15.03.10 - 04:25pm
The Shahabnama is a most wonderful book in its simplicity. In the main, a memoir of Qudrat-ullah Shahab, this book allows one to contemplate and think about what should be important in our lives and to relish those things before it is to late. His words and insights have a simple clarity, which would live on in the hearts of the readers.

The Shahabnama is in effect, a candid, moving and entertaining memoir. *

mastkuri 15.03.10 - 04:47pm
bahut he achi malomati post hai umidpak thaks you soooooo much. *

cascad18 15.03.10 - 05:31pm
good work u did. Umeedpak sis *

1-> 7->>


* Reply
* UrdUMaG Forum


Search:
topics replies


* UrdUMaG

Create Your Own App Store

topTop
groupsGroups
mainProdigits

Create Your Own App Store