Mobi Groups
Download Free Apps & Games @ PHONEKY.com

UrdUMaG - Topics
Create Your Own App Store

* UrdUMaG > Topics


Subject: ~*~*~BAZM E ADHAB~*~*~
Replies: 399 Views: 15682
6-<< 2-< 1-> 7->>

ajnabii 15.03.10 - 05:41pm
2thumbs_up.GIFgud job sis thank you. *

jazzy007 15.03.10 - 07:46pm
Oye hoe oye hoe lol4.GIF exlnt UMEED-E-PAK JI *

xxkamixx 16.03.10 - 12:41pm
bohat khoob . Umeed sahib ! . Shukria . *

xxkamixx 16.03.10 - 12:56pm
qudrat ulah shahaab ka shahaab nama , waqia hi urdu adab mein aik shah kaar ki haisiat rakhta hay . jis ne nai pada usko padhna chaiay . Pakistani mashre ki nafsiyaat ko ager kisi ne smajhna ho to , shahaab nama wo wahid , indepth ,and insite , kitaab hay jis ke zaria ap pakistan ki rouling class or uske mizaj ko samajh sakte hein . Unki siah kaario,n or unke tareeqa e wardaat se wakfiat hasal kerna bohat zaroor hay ager ap pakistan mein rehte huay apna raasta buna sakein to shahaab nama apko zaroor padhna hoga ! . . Btw . Mujhe qudrat ulah shahab ke JINAAT ki doctorn se ikhtelaaf rahe ga . .bohat ajeeb baat hay ke aik intehaai taleem yafta or aik aqal e saleem rakhne wala , intehaai kamyaab , or qabil insaan bhi , is qisam ki toham parasti mein mubtela nazer ataa hay . *

xxkamixx 16.03.10 - 01:12pm
meine shahaab nama apne school ke aakhir saal mein pada . Un dino Sardar abdul qayoom sab sadar e azad kashmir thay or humre school ki alwidaaya taqeeb mein chand minutes ke liay tashreef laaye . Bil mushafa tamam staf or studants se mulaqaat ki , lekin kisi bhi shakhs ke salam ka jawab nahi dia , na hi kisi se koi baat ki , taqeer (khitab) ke liay jab request ki gai to unho ne hath utha ker inkar ker dia . *

xxkamixx 16.03.10 - 01:19pm
humare PTI sahab , jinka taluq PALANDHRI se tha , mein ne unke nazdeek ja ke sargoshi se pooch ke , P TI sahab ye kia mamla hay ? . Kia sardar sahab ka gala kharab hay , ya wo intne ziada k*m go hein ? . .pt sab ne kaha ke khamoshi se aik tarf beth jaao ! Sardar sahab MUJADLAA ke alam mein hein , or wo koi CHILLA KAAT rahe hein , is liay kisi se baat nahi kerein gaye aaj . *

xxkamixx 16.03.10 - 01:27pm
badh mein pt sab se studants ki tafseeli nishist rahi or pata chala ke sardar sahab metric 10th.GIF bhi pas nahi hein . Sardar abdul qayoom khan sahab ki CHILLA KASHI to samjh aati hay . Qudart ulah shahaab ki nahi . *

mastkuri 16.03.10 - 03:47pm
kamran bhaai jaan umidpak bhen ge hainhehe.GIF *

xxkamixx 16.03.10 - 10:51pm
sory . Mafi chaho,n ga . Meine unki profile dekhe bagair hi unko sahib likh dia . Mart kuri sahiba apka bhi shukria ! .lol . *

cascad18 17.03.10 - 11:07am
Kami bhaiya aap kaha thay itnay din aaya jaya kijiye ap kay aanay say hamaray group may ronaq rahti hay happy.GIF *

aanchals 17.03.10 - 12:48pm
hmmm well said kami thanks for sharing. *

xxkamixx 18.03.10 - 01:22pm
mehrbani . Aanchal / cascade apka b shukria . Koshish to yahi rehti hay . Lekin wakt badi zalam blaa hay . Kia kia jaaye ? *

aanchals 28.03.10 - 11:09am
(b)(u)Kal Aur Aaj(/u)(/b)

go mera haafzaa itnaa acha nahi
laikin bachpan aur larakpan kee
bohat saari xbaatein mujhay bohat
achi tarha yaad hain

*

aanchals 28.03.10 - 11:11am
ghar kee veraani aur akaylaypan say ghabraa
kar darwaazay mein aa kar baithna aur gali
meinaatay jaatay log'oan kay chehray takna
bohat sukh dayta thaa aaj bhi jab bohat
*

aanchals 28.03.10 - 11:11am
akayla ho jaata hoan to ghar kay
darwaazay mein aa baith'ta hoan
aatay jaatay log'oan kay
chehray bhi takta hoan
laikin bay'chainee aur berh jaati hai. *

aanchals 28.03.10 - 11:12am

yeh to yaad nahi keh mujhay ous
say mohabbat kab hoee?
albatta yeh baat mein baray wasooq say
keh sakta hoan keh mujhay mohabbat ka sha'oore
aanay say pehlay xmohabbat ho chuki thee
aaj bhi meri aankh'oan kay saamnay hai... *

aanchals 28.03.10 - 11:12am

apnay apnay baroan kee nazr'oan say chup kar
sardi'yoan kee lambi lambi raat'ain sehen
mein baithay baithay aur baat'ain kartay guzaar kar dayna.
*

aanchals 28.03.10 - 11:13am
aik doosray ko apni apni sahhailiyoan aur
dost'oan kee baat'ain aur sharaarat'oan kay
qissay sunaa'na.. *

aanchals 28.03.10 - 11:13am

bahaanay bahaanay say aik doosray
kay haath'oan say khailna, laraa'ee
jahgraa karna aur kisi kay bhi haar
jaanay per khilkhilaa kar hans dayna
goya mamool thaa...
*

aanchals 28.03.10 - 11:14am

yeh maamool ab bhi barqaraar hai
laikin kutch tabdeeliyoan kay saath
ab na to kisi say chupna perta
hai aur na darna...
*

aanchals 28.03.10 - 11:15am
jab bhi sermaa kee lambi raat'ain aati hain
sehen mien baithaa ghantoan apnay
aap say baat'ain karta rehta hoan
bay'ikhtiyaari mein apnay hee
haath'oan kee ungliyaan maroortaa kahin
goum ho jaata hoan x.
*

aanchals 28.03.10 - 11:15am
aur phir chonk uth'ta hoan
jab aankh'oan mein garam garam nammi
phailti hai aur rukhsaar bheeg jaatay hain
aisay mein daanistaa aur zabardasti
hans'nay kee koshish kitni nakaam
aur kitni khookhali hoti hai...
*

aanchals 28.03.10 - 11:16am

meray illawa kisi aur kee samajh mein aana mushkil hai...

aik hee sheher mein rehtay thay to hazaar
naraazgi kay baawajood aksar sarr-e-raah
mulaaqaat ho jati
aur apni apni anaa'oan kee parwaah keeay
baghair aapas mein bole partay
laikin ab to aik muddat hoee...
*

aanchals 28.03.10 - 11:17am

pehlay ous nay sheher badlaa aur phir mein nay,

jab kabhi udaasi hadd say berh jaati hai to
deewaana'waar ghar say nikal perta hoan
magar subha say shaam tak masroofe aur
bharray purray raastoan kee khaak chaan
kar jab wapis loat'taa hoan to
khali pann mazeed berh jaata hai aur
udaasi kutch aur siwa ho jaati hai. *

aanchals 28.03.10 - 11:18am
pehlay jis cheeze kay leeay bhi dil chahta thaa,
chaahay kitni bhi qeemti ya anmole hoti...
haasil kar liya karta thaa....
kabhi zidd kar kay aur kabhi khaana naa khaanay kee dhamki day kar,
aur phir fakhar kia karta. *

aanchals 28.03.10 - 11:18am


mizaaj mein hatt'dharmi aur zidd to ab bhi
waisee hee hai laikin haat'dharmi sehnay aur
zidd maan'nay wala koi nahi
dhamki bhi day sakta hoan. *

aanchals 28.03.10 - 11:19am
laikin dhamki mein aanay wala koi nahi.
is kay baa'wajood jo kutch bhi chaaha
hai jesay taisay haasil kia hai.
aur dunya kee bay'shumaar naimat'ain
muyassar hain magar woh lamhay
jo beet ga'ay,aur woh waqt jo guzar gaya...
kahan say laa'aon aur kis say maangoan!!!


*

umeedpak 28.03.10 - 07:02pm
awesome!!Bohat khobsoorat tehreer haie thx anchal. *

xxkamixx 28.03.10 - 09:55pm
wah . kia kehne aanchal aap ne to wakat ko jaise thaam lia ho , kuch dair her shay apni jaga pe ruk ci gai ho jaise , kia kehnay !
bohat dino baadh mujhe aisa luga ke wakt ka pah_ya kisi ne ahista ahista se peeche ki taraf sirkaa dia ho bghair kisi perwa ke .
itni madham , itni pur taseer or itni pukhta thereer . bohat k*m padhne ko milti hay .
bohat shukria .
meine kitni shidat se mehsoos kia is tehreer ko mein bayaan nahi ker sakta . bohat hi ache ! *

umeedpak 29.03.10 - 01:15pm
v v v touching lines...........kamix thanks. *

aanchals 29.03.10 - 07:37pm
bohut bohut shukriya kamix bhai or umeed siterhappy.GIF *

ajnabii 11.04.10 - 10:03pm
Ibn-e-Insha URDU KE AAKHRI KITAB Se

....zara nazr utha ker aasma ke taraf dekho kitna ooncha hai yehi waja hai k ager koi is per say giray to bohut +++++ ati hai..baaz log aasman say girte hain to khajoor main atak jate hain waheen baithay khajoorain khate rehte hain...lekin khajorain bhi to kahin kahin hoti hain..her jaga nahi hotin...
kehte hain pehlay zamanay main aasman itna ooncha nahi hota tha..Ghalib naam ka shayar jo do soo sal pehlay hua hai...aik jaga kisi say kehta hai....'kia aasman k baraber nahi hun main?'...jun jun chezon ke qeematain oonchi hoti gain..aasman is say batain kerne k liay ooper uthta gya ab na chezon ke qeematain neechay ayin na aasman neechay utera..aik zamanay main aasman per sirf ferishte raha kerte thay phir hma shma janay lagay jo khud nahi ja sakte thay...in ka damagh chala jata tha...ye neechay damagh k baghair he kam chala lete thay.....bari had tak ab bhi yehi soorat hai
pyaray baro!..rah chalte main aasman ke taraf nahi dekhna chahiay ta k thoker na lagay jo zameen ke taraf dekh ker chalta hai usay thoker anhi lagti.....
*

xxkamixx 13.04.10 - 12:31pm
be dard sunni ho to chal kehta hay kia achi gazal . Shaair tera . Aashiq tera . INSHA tera . .wah kia hi kehne ajnabi bahi . Boht khoob ! . *

cascad18 13.04.10 - 12:49pm
''Ashfaq Ahmed '' likhtay hain....

Rome may maira treffic chalaan hua,,
masroofiyat kay bais time par ada na kar saka ,
court jana pada ,
judge kay samnay paish hua tou us nay wajah poochee,
mainay bataya kay teacher hoon,
bz aisa raha kay waqt na mila,
is say pahlay kay baat mukammal karta sab loug khaday ho gaye aur mujh say maafi mang kar chalaan cancel kar diya ..
us roz may us qoum key taraqi ka raaz jaan gaya ...... *

swtshona 13.04.10 - 01:51pm
bohat khoobsorat baate hay clap3.GIF *

umeedpak 13.04.10 - 04:56pm
v nice post ajnabii bhi cascade18,thnx *

umeedpak 13.04.10 - 04:57pm
Madd-o-jazar
Zindigi mein baz dafa ese bhi mawaqe aate hein ke insaan per yasiyat tari ho jati hai aur woh na yasiyat ko sumj pata hai aur na hi is ka izhar kersakta hai mugaar usko her waqat kisi baat ki kami mahmoos hoti hai. Kuch arsa pehle mein ne apne aap ko aik ese hi mod per paya.
*

umeedpak 13.04.10 - 04:58pm
Mujh ko na tou i'lm-i-nafsiyat per i'tibar hai aur na hi nafsiyat ke mahiroon per bherosa hai isliye mein ne mahir-i-nafsiyat ke pas jana gawara nahin kya, magaar jese jese waqat guzar ta gaya meri yasiyat ne gharaii ikhtiyaar kerli mein sooca ke agaar mein ne is ka hal jald talaash kya tou mein shayad is yasiyat ko berdasht na ker paoon.
*

umeedpak 13.04.10 - 04:58pm
Mein ne meri dost Suhana se is baat ka zikr kya. Suhana is baat ko sun ker hanste hanste dhori ho gai. Tum uloo ho tum pagaal ho tum Abb Jaan ke pas kyun nahee jaate?
*

umeedpak 13.04.10 - 04:58pm
Tum uloo ho, tum pagaal ho, yeh alfaz Suhana ke takyaklam bun chuke hein. Woh mujhe payar se pagaal kehti hai aur mein usko pagaaloon ka sardar kehta hoon.
*

umeedpak 13.04.10 - 04:58pm
Kehti tou such hai, yeh meri pagaloon ki sardar. Theek tou hai mein shayad uloo hoon, mein ne esa kyun nahin socha? Woh ab mujhe bewaqoof bhi kahe gi.
*

umeedpak 13.04.10 - 04:59pm
Mein ne Maan ko telephone kya aur apni pereshaniyoon ka zikr kya. Maan ne bhi yeh hi kaha bete tum apni pereshaniyoon tumahre Abu se kyun chupate ho? Mein ne Maan aur Abba ke haan haftee ko jane ka program banaya.
*

umeedpak 13.04.10 - 04:59pm
Mere walden beach per rahte hain. Mein us ghar mein peda howa. Haftee ke din car nikali aur radio aan kya tou yeh gaana buj raha tha.
*

umeedpak 13.04.10 - 05:00pm
Mere sansoon me hai tou samaya
mera jiwan tou hai tera saaya
teri pooja keroon her daam
yeh hai tera karam
kbhi khooshi kabhi gham
na juda hoon ge hum
sahi khooshi sub hai gham
subha shaam charnoon mein hum diae ham jalaein
dekhein jahan bhi dekhein tum ko paaein
in laaboon per bus tera naamho
payar dil se kabhi bhi na ho kam
*

umeedpak 13.04.10 - 05:01pm
Jab mein gher pooncha tou maan hamesha ki terhe baverchi khane mein theen. Mein ne Maan se rae li.
*

umeedpak 13.04.10 - 05:01pm
Maan ne kaha Beta mein tou yeh jaanti hoon ke agaar tou se shaadi ker ke tou sub theek ho jai ga, is se pehle ke ham chal basein hamein hamare pota poti dikhade.
Maan ki yeh ratt os waqaat se hai jaab mein athara daal ka tha. Maan ke pas her pereshani ka mere liye aik hi hal tha, payar, mohabaat, bevi aur bache.

Maan se sawaal kya, kya Abba Jaan ke pas is ka hal hai?

Who kahan honge library ke alawa
*

umeedpak 13.04.10 - 05:01pm
Jab mein beramde se guzra tou aik room se zaberdast Qehqahe ki aawaz aai. Haan mein yeh tou bhool hi gaya tha ke meri aik choti behan hai jiska naam Yasmeen hai. Mein Yasmeen ko khawaboon ki shazadi kehta hoon. Woh her waqat Net per hoti hai aur laRkoon se GupShup kerti hai. Mujhe is baat ka yaqiin hai ke Yasmeen ki be baki aur lutf aamez baatoon se Net per her ladka uska pervana hoga.
*

umeedpak 13.04.10 - 05:01pm
Mein ne camere mein ser daal ker kaha, Dunya ko hum se mohabaat hai aur mujh ko meri nani se. Yasmeen ne zor se cheekh mari aur dooR ker mujh se lipat gai, bhiya aap hamesha hi ghalat waqat per aate hein. Mein Rimsha se webcam per baat ker rahi hoon. Woh Kohat mein rahti hai, oske pas be webcam hi. Chaliye mein aap ki us se baat ker wati hoon.
*

umeedpak 13.04.10 - 05:02pm
Mein ne Yasmeen ke doono ghaloon ko payar se chooma aur kaha,

Phir kabi sahi abhi. Abba Jaan intizaar ker rahe hein.

Mein aap se khane ke waqat miloon gi. Yasmeen ne kaha is se pehle ke mein kuch kehta Yasmeen ne phir se head set pehan liya.
*

umeedpak 13.04.10 - 05:02pm
Abba Jaan hamesha ki terha kutub khane mein apni pasandida aramdeh kurse per baithe koi kitaab ped rahe the. Mein ne room mein nazar pheri, yeh woh hi tou room hai jahan Abba Jahan ne mujh ko paRhna sikhaya, jahan Maan ne mujhe chalna sikhaya, jahan mein aur Yasmeen ne sara sara din aankhmicholi khaleen.
*

6-<< 2-< 1-> 7->>


* Reply
* UrdUMaG Forum


Search:
topics replies


* UrdUMaG

Create Your Own App Store

topTop
groupsGroups
mainProdigits

Create Your Own App Store