Mobi Groups
Download Free Apps & Games @ PHONEKY.com

UrdUMaG - Topics
Create Your Own App Store

* UrdUMaG > Topics


Subject: ~*~*~BAZM E ADHAB~*~*~
Replies: 399 Views: 15717
6-<< 2-< 1-> 7->>

umeedpak 13.04.10 - 05:02pm
ab Abba Jaan ne meri mojoodgi ka ahsas kya tou kitab ko rakh kar meri terif tawaja di. Aankhoon se chashme ko uttara.

Abba Jaan aap kya paRh raheen? Mein ne sarsari taur per poocha.

Socretes ke che sawaal? Abba Jaan ne kuch soochte howe kaha.

Taqwa kya hai? Jura't kya hai? Insaaf kya hai? Taqqadoos kya hai? I'ttidaal kya hai?Acchaai kya hai?
*

umeedpak 13.04.10 - 05:03pm
Socretes yeh nahin janna chata tha ke taqwa kin ajza se mil ker banna hai, ya jura'at, insaaf, taqqadoos, i'ttidal aur acchai ki khasosiyat mil ker taqqwa banna hein? kya yeh ajza brabar ki miqdar mein taqwe ka hissa hein.

Socretes ka maqsad dunya ko yeh batana tha ke basher hi dunya ko sahi amar aur sahee sooch se achee jagha bana sakta hai.

Lekin aaj tum is liye nahin aaye ho ke mein aur tum Socretes ke swaloon ka tajzia kerein?

Abba Jaan Maan ne aap ko bataya ho ga mein ne dhire se kaha, Zindagi
aik mod par aa kar ruk gai hai, samajh mein nahin aata ke kya karoon. *

umeedpak 13.04.10 - 05:03pm
Mein ne boolna shroo kya aur taqriban 15 minute tak boolta raha. Mein ne Abba Jaan ko meri yasiat ka bataya, Suhana aur mere relation ka zkr kya, school, kam-okaj mein dil na lag ne ka izhar kya. Mein ne jab apni kahani khtam ki tou dekha ke Abba Jaan ki ankeen band hein, mein soocha ke so rahe hein.
*

umeedpak 13.04.10 - 05:03pm
Kya tum pehle ki terha sahil-e-samander per ab bhi jate ho? Abba Jaan ne Ankoon ko khool ker poocha.

Bachpan se muhe samandar se lagao hai mera taqriban her roz sahil-e-samander per guzar ta tha. College khatam hone ke ba'ad mein ne sheher mein aik flate leliya tha aur apna karobar shuroo kardia tha.

Ab nahin jana hota, kam se bahut kam fursat miltee hai. Mein ne kaha.
*

umeedpak 13.04.10 - 05:04pm
Jis tarha aik hakim mariz ko nuskha deta hai, Abba Jaan ne aik kaghaz ko char hissoon mein taqsim kya phir har perche par kuch likha aur un sab ko meri tarif baRhaya.

Mein ne Abba Jaan ko herat se dekha aur soocha ke poochoon Abba Jaan kya ap sanjeeda hein? Magaar yeh himat na hoi.

Tum kal subha sahil-e-samandar par jana. Yeh char waqat ka nuskha hai, aik 9 baje, dosra 12 baje, tisra 3 baje aur akhri 6 baje keliye. *

umeedpak 13.04.10 - 05:04pm
Beta agaar inki tasir chahate ho tou har nuskhe ko oske sahi waqat par kholna, magar is nuskhe ke sath perhazgari ki bhi zarorat hai. Kal subha uThne ke ba'ab shaam ke 6 baje tak music aur radio ko na sunna aur na hi logoon se baat kerna. Abba Jaan ne kaha.

Beta khana thanda ho raha hai. Maan ne room mein gerdan dhal ker kaha.
*

umeedpak 13.04.10 - 05:04pm
Chal khana kha, tere abu tou sara din bholte raheen ge.

Baqya din Maan ne mujhe tamam rishtedaroon ki khabren batain. Cousin Soniya ke bache ki pedaish, Cousin Fouzia ke laRke ne school khatam kerliya aur autni haj ko ja rahi hein. Yasmeen jab bhi apne room se bahir aai, Maan ko rouk kar mujh apni Net ke qisseh sonae.
*

umeedpak 13.04.10 - 05:05pm
Raat ko ghar jaate howe mein sara raste socha raha ke Abba Jaan ne in perchoon per kya likha hai, lekin himat na hoi ke khol ker dekhoon. Sari raat bechani se guzri.
*

umeedpak 13.04.10 - 05:05pm
Is se pehle ke suraj ki pehli kiran nikalti mein sahil-i-samandar par ponhach gaya. Hawaa mein khonki thi. Mein ne car se coat nikal kar pahna aur tehalne laga. Door door tak koi banda moujood na tha.
*

umeedpak 13.04.10 - 05:05pm
Lehrain betabi se meri taraf uThtiin jese bichRe dost ko modatoon ke baad dekha ho aur gale milne ki shadid khwaish ho, aur phir mauoos ho kar ese wapis lout jaatin jese mujhe pechaan na pa rahi hoon. Mein ne udas nazroon se samandar ko dekha. Mere dost, mere hamdam, mere sati, kya tum mujh ko bhool gaya?
*

umeedpak 13.04.10 - 05:06pm
Jab 9 baje tou mein ne pehla nuskha khola is par likha tha Ghoor se chokas ho kar sunno. Mein ne in lafzoon ko bar bar padha.

Ghoor se chokas ho kar sonno:
*

umeedpak 13.04.10 - 05:06pm
Kya Abba Jann ki aql khrab ho gai hai? unhoone music aur radio ko sunne se manna kya yahaan tak ke logo.n se boolne par bhi pabandi lagadi? Tou sonne ke liye kia rah gaya?
*

umeedpak 13.04.10 - 05:06pm
Mein ne sunne ki koshis ki, lekin bilkul khamoshi thi, sirf mojoon ki awaz, bagle (sea gull) ki choon choon aur oochai par aik aeroplane ki bin binahat ke siwa mujhe koi awaz sunai di.
*

umeedpak 13.04.10 - 05:07pm
Mein chokas ho kar kya sunoon? Mein ne dil mein kaha.

Mein aik sand dune par chada aur sahil ka nazara kerne laga.
*

umeedpak 13.04.10 - 05:08pm
Samandar mujh par ghussa tha. Uski awaz mein garaj thi aur uski garaj se mere kaan bhere ho rahe the. Mein ne soocha kya is shur mein dosri awazeen kho gai hein?
*

umeedpak 13.04.10 - 05:08pm
Hawaa se sand ki odne ki awaz Aur hawaa ki grass se sargoshian. Kya mein in awazoon ko pehchan sakta hoon?
*

umeedpak 13.04.10 - 05:08pm
Mera dil un awazoon ko suna chata tha. Yeh khowahish itni shadid thi ke mein ne sand mein baith kar apna sar suki grass mein rakh diya. Meri tamam tawaja sukaR kar is khowahish par markooz ho gai Aur mein hawaa ki sarsarahat ko suna. *

umeedpak 13.04.10 - 05:09pm
Waqat dhera ho gaya, mein ab hawaa ki lehar ke sath tha, jab lehar ne grass ko choaa tou mein ne hawaa aur grass ke patte ka milap mehsoos kya. *

umeedpak 13.04.10 - 05:09pm
Ab mein patta bun gaya, mein ne hawaa ke halke bojh se patte ka juhkna mehsoos kya. Mein ab phir hawaa ki lehar tha auor mein grass ke patte ko phir sidha hote dekha. Dhere dhere chalne wale waqat par mein ne aik sargoshi suni. *

umeedpak 13.04.10 - 05:10pm
Hawaa ne ghans se kaha, Mein phir aaoon gi
Aur ghans ne jawab diya, Tum mujh yahan hi pao gi, dekho bhool na jana *

umeedpak 13.04.10 - 05:10pm
Achanak samandar ki lehroon ne garaj kar kaha, kya tum mere bichRe dost ho?
*

umeedpak 13.04.10 - 05:10pm
Agar aap ghour aur chokas ho kar sunein tou aik mukhtasar lamhe par yeh lagta hai ke har cheez rouk gai hai. Is kotah aur saakin lamhe par aap ke tamam khyalat thahar jate hein aur aap berooni dunya ki tamam awazoon ko sun sakte hein. *

umeedpak 13.04.10 - 05:11pm
Aap ne androoni awazoon ko khaamosh karliya hai. Dimagh ab pursakoon hai.
*

umeedpak 13.04.10 - 05:11pm
Mein wapis car ke pass aaya aur baith kar is parche ko phir se paRa.Ghour Aur chokas ho kar suno.
*

umeedpak 13.04.10 - 05:11pm
Kya tum mere wohi dost ho jis ko mein ne sabar pasandi, un ginat (many) aur ba'iid-ul-feham bahimi insar ( not understandable but related) se agahi krai thi? Samandar chilaya.
*

umeedpak 13.04.10 - 05:12pm
Kya tum sab bhool gae?

Haan mein sab bhool gaya tha, magar ab mujh ko yaad araha hai. Tum ne kaha tha
*

umeedpak 13.04.10 - 05:12pm
Samandar ke madd-o-jazar ko koi qaboo nahin kar sakta, is liye teerne (swimer) wale ko sabar pasand hona chahiye.
*

umeedpak 13.04.10 - 05:12pm
Samadar apni khoshi se bewaqoofoon ko nahin doobata is liye aqal mand apni bandishoon ko janta hai.
*

umeedpak 13.04.10 - 05:13pm
Hawaa, madd-o-jazar, karant, bhiyanak ghamoshi, lali andhi aur toofaan bad-o -bar, yeh sab perindoon ko fiza mein Aur muchlioon ko pani ki gehrai mein rasta dikhate hein.
*

umeedpak 13.04.10 - 05:14pm
Mujhe ye sab yaad aaraha hai Mein ne kaha.
*

umeedpak 13.04.10 - 05:14pm
Subha bahut aaista se guzri, dopehar tak baadal ja choke the aur samandar ka pani mein chamak aur chulmolahat thi. Jab mein ne dosra percha khola is par 3 alfaz likhe howay the.
*

umeedpak 13.04.10 - 05:14pm
Mazee mein jhanko.

Kahan jhanko, Mazee mein, Haan, lekin kiyun?
*

umeedpak 13.04.10 - 05:14pm
Jab ke meri tamam pareshaniyaan abhi hein ya mustaqbil mein hoon gi? Mein baadili se car se nikal kar sand dune ke darmiyan tehalne laga. Abba Jaan ne mujhe sahil-e-samandar per isliye bhaja tha ke meri khoshiyaan is jagha se wabista hein aur ab mujh ko in khusiyoon ki phir se rassai kerni hogi. *

umeedpak 13.04.10 - 05:15pm
Mein ne aik sand dune ke nazdiik aik saaedar jagha dekhi aur halki tapti sand par lait gaya.
*

umeedpak 13.04.10 - 05:15pm
Mein ne mazee ke koween (water well) mein jhanka, thoRi kashmakash ke ba'ad kuch khushi ke lamhe satta par obhre, maggar un par dhoond chai hoi thi. *

umeedpak 13.04.10 - 05:15pm
Mein ne aik mosauvir (painter) ki terha un khyaloon se khela, thoRi si rangoon ki islah ki, thoRa sa khake mein ghra pan peda kya. Aik saanche ko le kar uski tafsil ko dobara se obharne ki koshish ki. Yeh lamha bilkul saaf ho gaya. *

umeedpak 13.04.10 - 05:16pm
Is dimaghi kefiyat mein, mein ne apne ko khoshiyoon se ghira paya. Mein ab aik esi dunya mein tha jahan saroor rehta hai.
*

umeedpak 13.04.10 - 05:16pm
Madd-o-jazar ab uttar raha tha. Kef-e-samandar mein ab bhi garaj thi. Mein ne yaddoon ke dher se aik esi yaad ko chuna, jis ne mere dil ko khoshiyoon se bhar diya, mein uth kar baith gaya. *

umeedpak 13.04.10 - 05:16pm
Mazee mein Jao. Agar mein mazee mein jaoon aur in khooshiyoon ke sere chashme ko choo-oon tou kya mujhe is se hamesha tawanai mile gi? *

umeedpak 13.04.10 - 05:17pm
Din ka dosra pehar bahut tezi se guzra, jese sooraj ne apna safar oofaq Aur magrib ki taraf ikhtiyaar kya, *

umeedpak 13.04.10 - 05:17pm
ese hi mere zahan ne bhi mazee ke waqiyaat ko aik dosre se a'lheda karna shroo kya.
*

umeedpak 13.04.10 - 05:17pm
Mein jab 14 saal ka tha aur yasmeen 8 saal ki, Abba Jaan ne hum se wada kya ke kaal tum sab ko circus le jaoon ga. *

umeedpak 13.04.10 - 05:17pm
Dosre din Abba Jaan beopar (business) par nahe gae. Hum sab loog kahna kha rahe the ke telephone ki ghanti baji. Yeh jaan kar ke phone par Abba ka munshi hai, mera aur Yasmeen ka monh latak gaya.. *

umeedpak 13.04.10 - 05:18pm
Hum ko pata tha ke jab Abba Jaan ghar par hote hein unka munishi oshi waqat kal karta hai jab ke kaam Abba Jaan ki mojodgi ke bagher nahin kya jasakta. *

umeedpak 13.04.10 - 05:18pm
Maan ne Abba Jaan ko yeh kehte suna. Mein aaj nahee aaoon ga is kaam ko mera kal tak intizaar karna ho ga..
*

umeedpak 13.04.10 - 05:18pm
Jab Abba wapis aae, maan ne kaha, Tum jante ho ke circus to hamesha aata hai Aur aae ga
*

umeedpak 13.04.10 - 05:19pm
Mein janta hoon, magaar bachpan tou kabhi lout kar nahin aata. Abba Jaan ne kaha, aur ham sab loog circus gae.
*

umeedpak 13.04.10 - 05:19pm
Jab Yasmeen 10 saal ki thi aik din mein aur woh aik sand dune par baithe lehroon ko dekh rahe the aur sooraj gharoob hone ka waqat tha. shaam aik khamosh aur doodia qaza rangi thi. *

umeedpak 13.04.10 - 05:19pm
Lehrein sahil pe sunehrey (golden) rang ki chadar bhejh rahe thiin, nazdik aur nazdik. aakhir kar pani ne sand dune ko har taraf se gher liya, jese Maan apne laDle ko gale de lagaleti hai. *

umeedpak 13.04.10 - 05:19pm
Yasmeen ne kuch soocha aur doobti hoi awaz mein kaha, Bhaiya aap dekheen na, zameen samandar ki ankoon ka tara hai. Woh is se kitna pyar kerta hai.
*

6-<< 2-< 1-> 7->>


* Reply
* UrdUMaG Forum


Search:
topics replies


* UrdUMaG

Create Your Own App Store

topTop
groupsGroups
mainProdigits

Create Your Own App Store