Mobi Groups
Download Free Apps & Games @ PHONEKY.com

UrdUMaG - Topics
Create Your Own App Store

* UrdUMaG > Topics


Subject: ~*~*~BAZM E ADHAB~*~*~
Replies: 399 Views: 15706
6-<< 2-< 1-> 7->>

umeedpak 24.04.10 - 10:49am
Urdu main Nasri Nazam shoroo say mutnazeah senaf-e-sukhan rahi hai
or essay kabe farakh delli say qobool nahain kiya gaya. *

umeedpak 24.04.10 - 10:49am


Aazad nazam ki kush nasebi hai kah roveti shoraa nay bhe
ossay tasleem kar lea hai balkah wo es main taba aazmae bhe kartay hain. *

umeedpak 24.04.10 - 10:49am
Halaankah aam qari nasri or aazad nazam main koe faraq nahain karta.
Wo nazam kay andar mojood mowad say lutaf andoz hota hai. *

umeedpak 24.04.10 - 10:50am

Wo essay shaeri es lea tasleem kata hai kah es main alfaz ki
tareeb-o-tanzeem nasar say hat kar hoti hai. *

umeedpak 24.04.10 - 10:50am
Dusra lehja orasloob bhe nasar sa nahain hota.
Alfaz nasar kay barakas khoobsurat or muntakhab hotay hain. *

umeedpak 24.04.10 - 10:51am

Jin ammor ka darj-e-bala main zekar kiya gaya hai,
kiya wo nazam ko nasar say alag kar daynay kay lea
kafi nahain hain? *

umeedpak 24.04.10 - 10:51am

kiya en hawaloon say nazam or nasar
kay paymanay teh nahain patay? *

umeedpak 24.04.10 - 10:51am
Agar mazkorah aanasar
kisi fan paray main mojood hain to ossay shaery
kahna kayoonkar ghalat or qabal-e-etaraaz ho ga *

umeedpak 24.04.10 - 10:52am
Nasar ravaan davaan hoti cheez hai,
es ka nahvi set up nazam say qatae mukhtalif hota hai *

umeedpak 24.04.10 - 10:52am
Assal moaamlah mehsos karna hai. *

umeedpak 24.04.10 - 10:55am
Kisi tehreer ko parh kar aap kisa or kiss andaz say mehsos kartay hain,
Yahhi assal cheez hai. *

umeedpak 24.04.10 - 10:56am
Aam rozmara ki baat cheet ya pher wakeel ki aadalat main beass or
mah a say aankhoon say ya lafzoon say batain karnay ka andaz,
lehja, asloob, or chalan eak sa hota hai?! *

umeedpak 24.04.10 - 10:56am


Aab-e-hayat main, Mohammad Hussain Aazad nay Meer sahib ka kaha naqal kiya hai. *

umeedpak 24.04.10 - 10:56am
Meer sahib nay kaha tha mera mohavra samjhna ho to Jameaa Masjad Deli ki sereoon per jao. *

umeedpak 24.04.10 - 10:56am

Oon kay kahnay ka maqsad yah tha kah main aawam ki zoban main lekhta hoon. *

umeedpak 24.04.10 - 10:57am
Ehal-e-Zoban kitnay laeq aalam fazal or phannay khan kayoon na hoon, *

umeedpak 24.04.10 - 10:57am
Oohain pazerae or tarekh main zinda rahnay kay lea aawam say sand-e-qobooleat hassal karna paray gi. *

umeedpak 24.04.10 - 10:57am

Sari tehrerain logoon kay lea hi to hoti hain.
Aawam ki sand kay bagher gari nahain chal sakti. *

umeedpak 24.04.10 - 10:58am
Her sheer shohrat nahain pata or yah bhe zaroori nahain hota kah
koe dusara bhe ossi sheer ko pasand karay. *

umeedpak 24.04.10 - 10:58am
Her koe eak sheer ki qerat eak andaz say karay mumkin nahain. *

umeedpak 24.04.10 - 10:59am
Bohat kam chezain hoti hain jo qabool-e-aam kay darjay per faez hoti hain. *

umeedpak 24.04.10 - 10:59am
Ustad Ghalib kay Devan ko hind ki alhami kitab kaha gaya. *

umeedpak 24.04.10 - 10:59am
Yah batt ghalat nahain or es main koe mobalgha bhe nahain *

umeedpak 24.04.10 - 10:59am
kah Ghalib ko aglay pach soo saloon main fikri hawala say samjha or jana ja sakay ga. *

umeedpak 24.04.10 - 11:00am
Kiya loog Ghalib kay saray ashaar gatay or batoor hawala boltay hain. *

umeedpak 24.04.10 - 11:00am
Nahain bilkul nahain. Oon ka mohavra qabool-e-aam
kay darjaay per faez nahain ho saka. *

umeedpak 24.04.10 - 11:01am
Oon ka seraf eak mesrah, jo mohavra nahain
lekin mohavra ban gaya hai Koon jeta hai *

umeedpak 24.04.10 - 11:01am

teri zulaf kay sar honay tak Es
mesray ko perh lain or mazmoon ki
dusri tehreer ko perh lain nazam or nasar
main faraq wazey ho jaay ga. *

umeedpak 24.04.10 - 11:02am

Yah mesra tehreer ka hessa hotay howay bhe apni alag say shanakht rakhta hai. *

umeedpak 24.04.10 - 11:02am
Khud aaghi or zaroorat kay motabaq dhalnay ki salaheat nasri
nazam ko dusri asnaf-e-adab say mumtaz karti hai. *

spidy2k5 24.04.10 - 12:04pm
wah bohot umda topic *

xxkamixx 24.04.10 - 01:19pm
hein oar bhi duniya mein sukhan ver boht ache ! . Kehte hein ke galib ka hay andaaz e bayaa,n oar ! . . .umeed thank u . Apne naser or nazam pe intehai sair hasil behs ka aghaz kia . .mein is mozu pe apni raye ka izhar kerne se pehle Asad ulah khan galib or unki shairy pe chand alfaaz e teh_neeyat likhna chaho,n ga is liaye ke . . . . . Bunti nahi hay saghar o badha kahay bagair ! . *

xxkamixx 24.04.10 - 01:31pm
naqash faryadi hay kiski shokhi e tehreer ka ? . Kaghzi hay pera_hunn her payker e tasveer ka .
MIRZA ASAD ULLAH KHAN GALIB ! ki shairy insani zindagi ki terah ann ginth chehro,n ka imtezaaj hay .

Wo kabi ashiq nazer aate hein to kabi mashooq , kabi mohabt ka mazaaq udaate hein to kabi khuda ke aagay ser jhukaate hein , kabi janat or dozakh ke tasver ko dil ke behlaane ka faraib thehraate hein , kabi baday se baday gham se takraa jate hein , to kabi mamooli se dukh mein toot ker aansu bahaate hein .

Ye sare chehre mil ker wo shakhsiat bunate hein jo adab ki tareekh mein ASAD ULLAH KHAN GALIB .ke naam se jane jate hein . *

xxkamixx 24.04.10 - 01:39pm
POOCHTE HEIN WO KE GHALIB KON HEIN ? . KOI BATLAAYE KE HUM BATLAAEIN KIA ! .
Ghalib berpoor zindagi ke shair hein . Unki shairy kaynaat mein insaan ki talaash ka safr nama hay , is safr namay ka her manzer galib ne apni ankh se dekha , apne dil se mehsoos kia , apne shaoor se qabool kia

wo aik badi wirasat ke malik thaye , pesha e aabaa sipeh gari tha , lekin galib ne wisasat se ziada apne zahanat or apne tajurbo,n ki sadaqat per aitmaad kia ! *

ajnabii 24.04.10 - 02:40pm
reading.GIF..........hmmm.GIFab kia kaho alfaz nahe hain tareef keliye bus aik se badh ke aik likha hai. *

spidy2k5 24.04.10 - 02:41pm

Bujhi Howi Shama Ka Dhuwaan Hoon, Aur Apnay Markaz Ko Ja Raha Hoon

Ke Dil Ki Hasrat To Mit Chuki Hai, Ub Apni Hasti Mita Raha Hoon



Teri Hi Soorat K Daikhnay Ko, Butoon Ki Tasveerin La Raha Hoon

Ke Khoobiyaan Sub Ki Jama Ker Ke, Tera Tasawwar Jama Raha Hoon



Kafan Mein Khudh Ko Chupa Dia Hai, Ke Tujh Ko Parday Ki Ho Na Zehmat

Naqaab Apne Liyeah Bana Ker, Hijaab Tera Utha Raha Hoon





Udhar wo ghar se nikal pare hein, idhar mera dam nikal raha hai

Ilahi kaise hai yeh qayamat, woh aa rahe hein mein ja raha hoon



Muhabbat Insaan Ki Hai Fitrat, Kahaan Hai Imkaan E Tark E Ulfat

Woh Aur Bhi Yaad Aa Rahay Hein, Mein Un Ko Jitna Bhula Raha Hoon



Zubaan Pay Labaik Her Nafas Mein, Jabeen Pay Sajda Hai Her Qadam Pay

Yoon Ja Raha But-Kaday Ko Natik, Ke Jaisay Kaa'bay Ko Ja Raha Hoon



Bujhi Howi Shama Ka Dhuwaan Hoon, Aur Apnay Markaz Ko Ja Raha Hoon

Ke Dil Ki Hasrat To Mit Chuki Hai, Ub Apni Hasti Mita Raha Hoon *

spidy2k5 24.04.10 - 02:42pm
kami bhai, mundarja bala kalam par main tafseelan behes karna chahta hoon.
Kiya aap bata sakte hai kay shaair kis cheez kay baare mein baat kar raha hai? *

xxkamixx 24.04.10 - 10:14pm
spidy . aap ki post ka shukria . thank you . ghazal aap ne post ki hay aap hi iss pe behs kerne ke haq daar hein . mera iss mein imthaan kese shuru hota hay is baat ka to mujhe nahi maloom . mager gazal ke ashaar se ye wazia hota hay ke shaair apni be basi ka izhaar , apni aakhri saanso,n ke sahaare ker raha hay . *

xxkamixx 24.04.10 - 10:15pm
thank u ajnabi bhi for reading . *

xxkamixx 24.04.10 - 10:35pm
mozu ki taraf wapis aate hein . GALIB ka ziker ho raha tha . ghlib ke sath zindagi ka slook kuch acha na tha . buchpan mein baap ka saya sar se utha to jawani mein bhai ne sath chod dia . chaar(4) bacho,n ke baap banne meger koi zinda na raha , aik bache ko goodh lia , mager wo bhi jawaan ho ker khatam ho gaya , inn musalsal hadhso,n ne ghalib ko tod ke rakh di .

unnho ne aik jaga apne khat mein likha hay ke mein har kaam ko khuda ki taraf se samjhta hoon or khuda se larda nahi ja sakta . meger apni be bassi pe roya ja sakta hay .
aise hi halaat they jab urdu adab ke iss azeem shair ne apne shairaana safer ka aghaaz kia hoga .
apne aik or khat mein likha hay ke .... mein ne shairy ko khudh ikhtyaar nahi kia . balke shairy ne mujhe majboor kia ke mein usse apna funn qaraar doo,n .
gham ho ya khushi ,her mozu pe ghalib apne hi andaaz mein sochte huay nazer aate hein .
uun ki shaairy kisi seema ya ser hadh mein muqeedh nezer nahi aati .

wo qaaynaat mein jis insaan ki talash ka naghma hay , wo dill ke saaz pe hi cheda ja sakta hay .

mere khayaal mein ager he kaha jay to ghalat baat nahi ho gi ke urdu adab or uss mein gazal ko jo muqaam hasil hua hay wo baja toar per ghalib ka merhoon e minath hay.

jis daor se hum ko waasta hay wahaan urdu ki abhi ibtedaa hi hui hay , nazm ko aarzi phulwaari mein , masnooi tareeqo,n se pervaan chadwaaya ja raha hay , jese aik gamlay mein ghulaab ka nana sa poda hota hay .
*

spidy2k5 25.04.10 - 12:42am
thanku kami *

maida21 25.04.10 - 05:09pm
khoobsurat batain hai shukria ummeed kami bhaiya. *

hibahst 27.04.10 - 09:50pm
waqai buhat informative baten hen Galib ke mutalique *

rabianaz 27.04.10 - 10:32pm
matured discussions.Weldon *

zeshan17 28.04.10 - 07:45am
clap.GIFkami bhai bohat acha likha hay apne or umeed gi ne tu kamal kardia hay. *

aanchals 2.05.10 - 01:51pm
nice sharing xkamix bhaae. *

xxkamixx 8.05.10 - 12:16am
aik angraizi muhawra hay ke aap siyasat poetry mein chahe ker lein hakomat hmaisha naser (perose) hi mein ki ja sakti hay!

ye kuch aisa galat bhi nahi hay .

duniyan ke her adhab ki ibteda shairy he se hui hay mager wakt ke sath sath jab ideas , tasawer, or nazriyaat ko , kisi mashray ne nizaam mein , amli satah pe mut_shakal kerna chaha , naser (perose) hi ka sahaara liya gaya . *

xxkamixx 8.05.10 - 12:48am
urdu adhab ki ibteda bhi shairy se hui , or 18vi sadi ke wast mein urdu adhab ko masnooi tareeqo,n se pervaan chadaya gaya . hindustan yani ber e saghir pak o hind mein iski tarveej ke silsila mein do shehro,n ne qaleedi kerdar adaa kia . aik DEHLI or dosray LAKHNAO.
inn do shehron mein urdu ko shairy ki satah pe ahista ahista markaziyat hasal hoti gai .
18vi sadi ke akher mein ye dono sheher urdu shairy or shairo,n se mutaraf hona shuru huay .

go ke hindustan mein urdu zuban ka taruf to 13TH A.H se bhi pehle ho chuka tha mager urdu zuban ko awaam ki satah pe na to koi rassai hasil thi na hi sarkari (offical)satah pe tasleem kia jata tha .
18vi sadi se pehle urdu mehz DARBAAR ke shehzaad_gaan _e _aaliya ke zoq e shairy ki taskeen hi ka zaria bani hui thi .

shair jo bhi likhte theye wo bhi DARBAAR ki khush_noodi ki khater hi likha jata tha , ya likhaaya jata tha .
MUGHAL shehn shaho,n ne AURAGABAD . DEHLI or DACCAN mein sarkari serparasti mein urdu shairy ko aik mehdood halqay mein aik mehdood satah per pevaan chadaya. *

xxkamixx 8.05.10 - 01:20am
baat chu_ke ghalib ke hawla se ho rahi hay iss liay (unn shoraa ki fehrist mein jaay baghir jin ko urdu adhab ki tareekh mein REEKHTA ke ustaad mana jata hay)ghlib ke muqaam hi ko zair e behs lana maqsood hay.

ghalib ne 1857 ki jang se kuch arsa qabal urdu shairy or uss mahool mein jis mein iisse parvaan chadaya ja raha tha or jin tareeqo se iski tarveej jaari thi , ke baare mein apne aik or khat mein tanqeedhan likha hay ke

mein iss fun se abh be gana e mehz ho gaya hoon ! (dehli) Qillah mein chandh Sehzaad_gaan_e _Taimooria jama ho ker kuch gazal khaani ker lete hein.
mein kabhi uss mehfil mein jata hoon to kabhi nahi
ye mefil mehz chan roza hay isko dawaam kahaan ?
kia khareb ! kal ko ho to abh ke na ho
or abh ke ho to aainda na ho !

*

cascad18 8.05.10 - 08:32am
nyc sharing kami bhaiya *

6-<< 2-< 1-> 7->>


* Reply
* UrdUMaG Forum


Search:
topics replies


* UrdUMaG

Create Your Own App Store

topTop
groupsGroups
mainProdigits

Create Your Own App Store