Mobi Groups
Download Free Apps & Games @ PHONEKY.com

UrdUMaG - Topics
Create Your Own App Store

* UrdUMaG > Topics


Subject: ~*~*~BAZM E ADHAB~*~*~
Replies: 399 Views: 15615
6-<< 2-<

samina11 23.12.10 - 12:55pm
so so nyc!good2.GIF *

xxkamixx 23.12.10 - 05:19pm
hmmmm . Bohat khoob saira .
Apka be hadh shukria .
Allah allah ker ke chup to tooti kisi tarah . *

xxkamixx 2.01.11 - 01:15am
humare ghar !
tasveer e jahanam kiun?

(ye mazmoon tahira ke nam khtoot se makhoz kia gaya hay )

ye sawal humare liay hamaisha waja e kavish or baais e nadamat raha hay ke duniya,n mein jahaa,n jahaa,n bhi musalman abaadh hein, ghair muslimo,n ke muqabila mein ghareeb or badh haal hein , pasth o kamzoor, or zaleel o khwaar bhi , or ye silsila guzashta das naslo.n se aisay hi kiun chala aa raha hay ?
iss sawaal ke sath hi humari nigha iss taraf bhi jaaye gi ke aam tor per humaare gharo,n mein na sakoon hota hay na itmenaan , na yaganghat or na hi hum aahangi , na koi koi yak jehti !

miyaan bivi mein na muhabat hoti hay na moadat, na bharosa na etmadh.
gharaz ye ke humaare ghar aapko her taraf aik jahanam nazer aaien gaye , jin ke sholay dillo,n ko apni lapait mein liay rakhte hein . phir mukhtalif khandaano ke darmiyaan mukhtalif aqsaam ki ranjishein dekhne ko millein gi , gharo,n ke andher or bahir ladaai jhagde mamool ki baatein hein . aisa kiun hay or bil aakhir iss ki wajha kia hay ?

jis tarah humari ijtemaai zindagi pasti or zuboo,n haali ka shikar hay issi tarah humari infiradi or gharailu zindagi bhi ru ba e zawaal hay , zahir hay , iss tamaam soorat e haal ki koi aik wajha to ho nahi sakti , yaqeenann mutadadh wajuhaat honi chahiyei,n lekin ye aik haqeeqat hay ke ijtemaai or innfiradhi zindagi aik hi darakht ki do(2) shaakhei,n hoti hein, or tamadan o mashrat , maaishat o dosti ke taluqaat or marasam , sab issi aik darakht ke barg o baar

darakht ager tandrust o twana ho to iski her shaakh sar sabz o shadaab nezer aaye gi lekin ager asal yani jadh or tanna hi dheemak zada hoon to to iss ke patthe or tehniyaa,n kabi hari bhari nahi reh sakti

jiss tarah ye na mumkin hay ke kisi darakht ki jadh or tanna to hara bhara ho lekin tehniyaan khushk, issi tarah ye bhi na mumkin hay ke kisi darakht ke jadh o tanaa to khushk ho chuka ho mager iss ke patthe or tehniyy,n hari bhari or lrhlehaati hui nazer aaien .

iss se zahir hay ke jo wajohaat humaari gharailu zaboo,n haali ki hoon gi wohi wajhoahaat humari ijtmaai zindagi mein zawaal ka sabab hoon gi .

dono surato,n mein hum dekhte hein ke zawaal ke asbab or bunyaadi wajuhaat iss haqeeqt per mabni hein ke hum ne mukhtalif aqsaam ke mazaahib deen e khudawandhi ki jaga ikhteyaar ker rakhe hein. or dono surato,n yani ijtemaai or inferadhi zindagi dono ko jahanam zadha banane ka sabab bhi humaati wo khud saakhta sareeiyt hay ji mein hum ne apne aapko charo,n taraf se jakad rakh hay .

deen e khuda wandhi ke maani ye hein ke hum khuda ke qawaneen or unn ki sadaqato,n ko yani humaisha rehne waali sadaqato,n ko tasleem kerein. duniyaan idher se udher ho jaaye lekin wo apni jagha qaaym or ataal rahein. or ye qwaneen e khdawandhi , jinhein khuda ne tamaam tamaam insaniyat ki reh numaai ke liay ataa kia hay , to inn qawaneen per kaar bandh qoam ki apni zindagi bhi izat or khush haali , serfarazi or murafah haali ki zindagi ho jaaye gi or jin qoamo,n ka wasta iss se pade ga wo bhi aman or sakoon mein rahei,n gi . iasi qoam ke mutalaq kaha jaay ga ke wo deen e khudawandi ke mutbaa qoam hay , lekin ager koi qoam unn baato,n ko jo kisi doar ke insaano ki khud waza kerda hoon , ghair mutabadhal qarar day lay to usski zindagi bhi jahanam ban jaaye gi or doosro,n ki nazro,n mein zaleel o khawaar ho gi . iss qoam ko mazhab ki mutbaa qoam kaha jata hay .

hum ne deen e khudawandhi ko chhod ker mukhtalif mazaahib ikhtyaar ker rakhe hein jinn ki tadaadh hazaaro,n mein hay or yaqeenqnn iss ravish ke wohi nataaj nikalne chahiyei,n jaise nikal rahe hein.

ye baat na ghair mamooli hay na ghair fitri, na achumbay ki hay na taajub ki . taajub to tab ho ager nataaijh (results) wo na niklein rahe hoon jaise nikal rahe hein,

ager babol ka beejh bo dene se keeker ka darakht nikal aaye to tajub wali kon ci baat hay?. taajub to tab ho jub uss per angoor lugne shuru ho jaaien!

mazhab parasti ke ye mazahir siraf humari ijtemaai hayaat ke liay hi zeher nahi balke deen e khudawandhi ko chhod dene or mazhab ikhtyaar ker lene se humaare ghar kaise jahanam ban chuke hein isse bayaan kena qatann dushwaar nahi .

kis qader adham itmenaan ki halat mein hum log reh rahe hein , hgar nahi jaise choolay hoon, jinn mein geeli lakdi jalti hay or dhooayein se her kisi ka dam ghut raha hay !

iss surat e haal ki chandh wajuhaat her roz humaare saamne aati hein mager hum log ghor nahi kerte , ya aisa kerna hi nahi chahate , dekhte hein or chal dete hein. *

xxkamixx 2.01.11 - 01:50am
aaiye zara ghor kerin , soochein, sub se pehlay inn wajuhaat ka taayunn kerein or phir unn ka hal talash kerne ki koshish kerin.

ager humein behter zindagi ko hasil kerna hay or humare andher mojooda mahol se behter banne or hayaat e javedaa,n ko hasil kerne ki khwahish mojood hay to phir humare pass iske siwa or koi doosra raasta nahi hay .

iss silsile mein sub se bunyaadhi wajha , be jod or kamsani ki shaadiyaan hein , maslunn hum aksr dekhte hein ke ZAHID ki umer abhi 17saal bhi nahi ho gi , abhi wo school se farigh bhi nahi hua tha ke FAKHRA ke sath , jis ki umer abhi 13saal ki ho gi , dono ki shaadi ker di gaai hay . FAKHRA, ZAHID ki chacha zaad behn hay or ye rishta dono bhaiyo,n ki merzi se teh kia gaya hay. zahir hay ke iss kam ummri mein ZAHID or FAKHRA ke liay intekhab ka sawaal hi nahi paida hota , ZAHID iss ke baadh school se collage ki taraf aaya . apni taleem mukamal kerne ke badh usse kisi doosre shehr rehna pada . collage ke badh uni , or digree ke badh nokri uss ki muntazir thi , or iss saare arsa mein FAKHRA wohi school ki taleem tak mehdood rahi . wo wohi deqaani ladki rahi jaise wo thi .

abb aap bataaiye ke ye joda jisse joda kaha hi nahi ja sakta , nibhta kaise ?

aise hota kiun hay ?

iss liay ke humare haa,n shadi murawijha sareeiyat ke taabhe hoti hay !!!

or iss shareeiyat ka faisla hay ke 13 ya 14bars to aik taraf 13 ya 14maheeno,n ke bache or bachi ki shaadi bhi bilkul jaaiz or darust hay . iss liay jis baat ko shareeiyat ne darust or jaaiz qarar de rakha ho iss mein mudakhlat ka haq kis ko hasil ho sakta hay?

iss ke ber aqss !!!!

deen ka faisla ye hay ke nikah ke liay ummr hi BALOGHATH ki hay . yaani baaligh hone se pehle ladke or ladki ki shaadi ho hi nahi sakti. phir uss ne kaha hay ke baloght hi shrat nahi nikah iak muahida (contract) hay , jiss mein fareeqein (ladka or ladki ) ki raza or rughbat bhi lazim hay . or zahir hay jub ye contract (nikah) dono fareeqein ki raza mandhi se ho ga to raza or rughbat ke sath sath , zehni hum ahhangi , mizaaj or uftaadh , taleem , terbiyat, mahol , adaat o khasaayl, her baat ko saamne rakh ker faisla kia jaaye ga .

ager humari khudh saakhta shareeiyat humare liay sanadh na banti to ZAHID OR FAKHRA ki shadi ka sawaal hi paida na hota tha . na hi inn ki shadi itni kam ummri mein ho sakti thai. jab ye baaligh ho jate to ZAHID apni shaadi apni merzi se kerta or FAKHRA ki shaadi apne mahol ke mutabiq hoti, iss liay ye kamyaab bhi rehti . iss tarah ki shaadiyo,n mein zehni hum aahangi or mutabqat ke imkanaat kiun ke ziada hote hein , or khandaano ke darmiyaan adham sakoon bhi na hota .

abh aap khudh hi bataaien ke mazhab or deen ke faraq ne iss muamla mein kitna bada ifteraaq paidha ker dia hay ?
or iss ka nateeja kia nikalta hay?

zara apne girdh o paish nazer dohda ker dekhiye !!! *

xxkamixx 2.01.11 - 02:37am
abh zara aagay badhiye !
or doosri sub se badi wajha e nazah yani doosri shaadi (2nd marriage) ki tarf aaiye!

ye wo maamla hay jisse humare mashro,n mein qatann ghalat nahi samjha jata. lekin ager aap ka taaluq kisi hawala se uss oarat ke sath ho jis ka shohar doosri shadi kerne ja raha hay to aap ke jazbaat kis qader mushtaiil hoon gay ?

maslunn, beta ya baiti hone ke naathe aap apne walidh ki doosri shaadi per apni walidha se kis qader jazbaat or humdardi rakhein gaye ? ya bhaai hone ke naathe aap apni behn se aap ko kitni humdardi ho gi ?

lekin humari khudh saakhta shareeiyat ne iss mamle mein bhi doosri balke teesri , or yak baargi 4aar 4aar bivio,n tak ki ijazat de rakhi hay . iss surat e hal ke paish e nazer humare gharo,n mein abh sukh or chain kahaa,n se aa sakta hay ? ye surat haal kisiaik jode tak hi mehdood nahi . humre maashro,n mein har bivi ko her wakat ye dhadka luga rehta hay ke ...... kab chhuri saiyaadh ne lee.... abh qafas ka dhar khula !!

iss liay ke usse maloom hay ke shareeiyat ke mutabiq madh ko poora poora haq hasil hay ke wo jab ji chahay aik do or teen ker ke , baghair wajha bataay, bivi ko alug ker sakta hay .
jiss maashre mein oarat ke sar per her wakat ye talwaar latak rahi ho uss maashre mein gharo,n ki zindagi jahanam na ho to or kia ho ?

aap kahei,n gaye ke iss se to ISLAM per sakhat ehtrazaat waridh hote hein , kiun ke islam ne inn sub baato,n ko jaiz qarar dia hua hay . iss liay ager inn baato,n ka nateeja maashre ki tabahi or gharo,n ki zindagi ka jahanam hay to iss ki zima daari mardho,n per aaidh nahi hoti khudh ISLAM per aaidh hoti hay, jiss ne mardho,n ko ye ikhtiyaar de rakhe hein .

ager ISLAM ne fil waqia ye ikhtyaar mardho,n ko de rakhe hote to aap ka ehtraaz bilkul darust hota , lekin islam ne madho.n ko iss qisam ke ikhtyaraat bilkul nahi diay .
jaisa ke pehle bhi likha ja chuka hay ye ikhtyaraat uss shareeiayt ne de rakhe hein jo bohat baadh ke paidwaar hay . QURAN inn ki ijazat kabhi nahi deta . QURAN kamsanni ki shaadi se her maashre ko qanoonan rokta hay . uss ne nikah ko aik contarct qaraar dia hay , baloghat ki umer ko qanoonan aik shart rakha hay . ladke or ladki ki ijazat ke baghair nakah ko najaiz kehta hay . or madh ko iss baat ki ijazat nahi deta ke uska jab jee chahe , do , teen , ya chaar shadiyaan ker sakta hay .

tadaadh e azwaaj ( number of wives ) ko maashre ki SIRF AIK hungami halat ( the state of emergency) or SIRF AIK hungami halat ki mushkil ke hal ke tor per tajhweez kerta hay JIS KA FAISLA MUSALMANO KA IJHTEMAAI NIZAAM ( SHOORAH , YA PARLEMENT) KERTA HAY NA KE AFRAADH !

abh aap khud faisla kerein ke jiss islam ke ye qawaneen hoon, or ye ehqamaat , uss per wo ehtraaz kisi tarah bhi waradh hota hay jis ki taraf uper ishara kia gaya hay ?

aik martabh phir apne ghirdh o paish aik nazer dhodaaiye or apne dill se pooch ker bataaiye ke iss kharabi , yani doosri shaadi ka mamba kahaa,n hay ? *

xxkamixx 2.01.11 - 02:47am
abh zara talaq ki taraf aaiye !!!

or ye wo mamla hay jis jis se aap ne , hum ne gharo,n ke ghar or khandaano,n ke khndaan tabah hote dekhe hoon gaye .
aik achi bhali , or naik seerat oarat ho gi , uss per ghar se paise chori kerne ka ilzaam lugta hay . or phir aik do or teen TALAQ TALAQ TALAQ , *

xxkamixx 2.01.11 - 02:59am
MAMLA KHATAHAM !
lekin mamla yahaa,n khatham nahi hota . der haqeeqt mamla yahaa,n se shuru hota hay .

unn jazbaat ka ziker to pehle hi ho chuka jo doosri shaadi ki surat mein oarato,n ke rishtadaaro mein wajha e ishtaal bante hein , talaq ki surat mein unn mein to or shidhat aaa jati hay or hum akser akhbaraat mein padhte hein ke falaa,n khandaan ke afraadh ne apni behan ya bati ki talaq ke mamla per . damaadh, or uss ke khandaan ke itne afraadh ko qatal ker dia , or iss ke sath phir silsila e inteqam nasal dar nasal chal nikalta hay .

ye baat bhi sar e kham tasleem ke ke her maashra mein aoratein bhi aik jaisi nahi hoti. 5aach ungliyaa,n kabhi baraber nahi ho sakti mager iss ke bawajood ager unn wajuhaat per ghor kia jaay jin ki wajah se nobat talq tak pohanch jati hay to wahaa,n bhi surat e hal yakser aisi hi milti hay , jaise baaqi tamaam mamlaat mein.
yahaa,n bhi orato,n ke sar per wohi talwaar latakti dikhaai deti hay .

maslunn SABRA ki kahaan SABRA hi ki zubani sunniay !

(JAARI HAY)..... *

shamma 2.01.11 - 03:27am
Do u really expect us 2 reead all daaat? *

shamma 2.01.11 - 03:27am
Um sori it mite be gud stuff. *

shamma 2.01.11 - 03:28am
Plz 4give me. *

xxkamixx 2.01.11 - 03:30am
pad lo koi farq nahi pade ga . ye meri ussi book se hay jis mein saal girah wali nazam likhi hui hay jo tume poori yad honi chahiay :) *

shamma 2.01.11 - 03:34am
What ju talking about? Me no undrstnd. *

saira33 2.01.11 - 12:47pm
reading.GIF *

saira33 2.01.11 - 01:02pm
Ek MAA Se Kisi Ne Pucha Ke.
.
''Ap Ke Qadmo Talay Jannat Hoti Hai Jo Ke MAA Ki Azmat Ki Nishani Hai Agar Ap Ko Kaha Jae Ke Is Ke Badly Ap Kuch Mango To Ap Kia Mango Gi?''
.
MAA Ne Boht Khubsurat Jawab Dia Ke:
.
''Mein Apni Olad Ka Nasib Apne Hath Se Likhne Ka Haq Mangun Gi Ke Unki Khushi Ke Agay Mere Lye Har Jannat Choti Hai''.
*

i_am_ur 2.01.11 - 01:11pm
.
0 0 0 lufff u Ammii G happy.GIF
..
v beautifull sharin @saira G .. thnkQ rose.GIF *

miraan 2.01.11 - 03:35pm
bahot hi khoob saira.heart touching tha.. *

samina11 3.01.11 - 10:41am
I love my mom! so brlnt saira! *

xxkamixx 4.01.11 - 12:54am
SABRA KI KAHANI SABRA KI ZUBANI.....

wo kehti hay ke : munne ke abba ko na jane kia ho gaya hay ? wo bat bat pe tadak se keh dete hein ke TUMME TALAQ DE DOON GA !
tum bacho,n ko jahaan jee chahe lay jaao.

pehlay mein isse mehz tabiyat ki taizi smajhti thi , meger abh aisa mehsoos hota hay ke jaise wo baat dill se kah rahe hoon.abh mujhe ye khatra sataane luga hay ke ager sacj mucj , unno ne , talaq talaq, talaq, keh dia to mein kia keru,n gi ? or phir mere bacho,n ka kia bane ga? wo to aik shaadi or ker lein gaye , mera pursaan e haal kon ho ga ? meri koi jaidaad waghaira to hay nahi , jis se unn ka pait paal sakoo,n gi .

ghar ka kharach jis qadher bacha sakti hoon , bacha leti hoon , or usse alug rakhti jaati hoon, mein jaanti hoon ke uss se koi khater khwah raqam jama nahi ho jaay gi , lekinkhuda bure wakat se bachaay , doobhte ko tinnke ka sahara! lehaza mein ne faisla ker liya hay , kaheen wo din dekhna hi pad gaya to unne keh doon gi ke aap ki kamaai se itni raqam mere pas jama hay , aap usse mere MEHR se wazah ker lein , kia maloom baqi ki dein ya na dein? lekin mein to khuda ke hazoor sur-khuru ho jaao,n gi.

abh aap hi ghor kerin ke iss orat(sabra) ko kis khatra ne aisa kerne per majboor ker dia ?

or iss ke bdh ye bhi sochiye ke jis orat ko apne or apne bacho ke mustaqbil ke mutaliq iss qisam ke khatraat ka her wakat dhadka luga rahe wo khaak sakoo,n ki zindagi baser kere gi ? or jinn miaan bivi mein bahumi aitmaad ka ye alam ho unn ke ghar mein sukh , chain kahaan se aa sakta hay? *

xxkamixx 4.01.11 - 01:09am
talaq ke moamla mein bhi humare muashre mein orat ke sar pe latakti hui talwaar ke doosre siray per mardho,n hi ka hath nazer ata hay , or iss ke liaye bhi sandh wohi ho gi ...SHREEYAT !

wo mardh ko baghir wajha bataay , dekhe , sunne, jub jeee chahe ,talaq ki ijazat deti hay .
or iss ke ber-aqs DEEN ne (contract) muahida e nikah ki tanseekh (talaq) ke liay aik aik mutaiyann tareeqa e kaar ( a set law and order ) waza kai hay . jiss ki ru-h se ye haq yani talaq , dono mardh or oarat ko , baraber hasal hay , mager jis ka faisla adalat ( court ) kere gi .

mujhe maloom hay aap kahein gay ke molvi hazraat apni shareeyat ki taeedh mein HAZOOR (saw) or SAHABA (ra) ke ehd ke waqiyaat paish kerte hein jin se zahir hota hay ke islam ke ehqamaat wohi hwin , jinnhein wo bayaan kerte hein .

iss baat ka ziker pehle bhi ho chka hay ke .... SHREEYATI NAZAAM bohat badh ki baat hay , humein apne sader e awal ki tareekh ka mutala kis asool ke teht kerna chahiye. ye baat bunyadi noiyath ki hay or intehaai ehhm ! *

xxkamixx 4.01.11 - 01:39am
iss silsila mein sub se pehle aap ye dekhein ke
(1): NABI E AKRAM (saw) ki zindagi QURAN ke mutabiq baser hui thi

(2): QURAN ka aik aik lafz humare paas apni asli halat mein mojoodh hay

(3): NABI E AKRAM (saw) ke zamana ki tareekh sadhiyo,n badh ja ker muratab hui

inn halaat mein ye wazia asool humare saamne ata hay ke.... nabi e akram(saw) ke mutalaq humein jo kuch tareekh se milta hay , iss mein wohi kuch darust ho sakta hay jo QURAN ke khilaf na jaaye!

ager iss mein koi baat aisi milta hay jo quran ke khilaf ho , to hum bila taaml ye keh dein gaye ke wo sahi nahi , iss liay ke RASOOL ALLAH (SAW) ka koi amal quran ke khilaf ho hi nahi sakta.

aise amoor ke mutalaq jinne tareekhi hawala ki haisiyat se paish kia jaye to humme iss mein mazeed tehqeeq kerni chahiye , or ager isska imkan na ho , to smajh lena chahiye ke ye waqia ya to quran ka hukam nazal hone se pehle ka tha , ua BILKUL GHALAT !

maslunn , SAGHER SUNNI (UNDER AGE) ki shadi ke silsile mein kaha jata hay ke NABI E AKRAM(saw) ka hazrat e AAISHA (RA) se nikah uss wakat hua jab aap(aashah ra) chay (6) saal ki thien. lekin baaz waqiyaakt ki tehqeeq se ye saamne ata hay ke ye baat ghalat hay .

hazrat e AAISHAH (ra) ki ummer shadi (nikah) ke waqat kam az kam (16) ya (17) saal ki thi . baaz rawaayaat ko saamne rakha jaay to 19 or 20 bhi sabath ho jati hay .

issi tarah azwaaj e mutahiraat ke mutaliq surat e haal ye hay ke ye shaadiyaa,n aik hunghami surat e hal ke paish e nazer hui thi, jis ka ziker yahaa,n be maani hay , mager uss ke iss hissa ka ziker yahaan zaroori hay ke QURAN ne uss nizam (deen) ke zaria se azwaaje mutahiraat ko batabeeb e khtir ( by theur own will an choice) or pane haqooq e elehdagi ( right of sepration )ke sath ijazat de di thi . or HAZOOR (SAW) ke sath rishta e azwaaj ko qaim rakhne ka haq or ikhtyaar ( jo un azwaaj ka apna ikhtyar tha) bhi de dia tha , isske badh HAZOOR (saw0 ko mazeed shadi kerne se manah ker dia gaya tha . lekin iss waqia ko bunyaad bana ker , 3 , 3 or 4, 4 shadio,n ki ijazat de di gai hay .

abh unn tareekhi waqiyaat ka jinne ba-tor e sandh ( as a cirtifict ) paish kia jata hay kia muqam hay .
aap khudh hi faisla ker lein ! *

xxkamixx 4.01.11 - 02:00am
jahaan tak talaq ka taluq hay to saabqa satoor mein iski bhi wazahat ho chukki ke iss ka tareeka e kar kia hay . or iss tareeka e kar ko yahaa,n dohrane ki zaroorat nahi . mager uss ke iss pehlu ka dohra dena zarrori mehsoos hota hay jiss mein teen (3) talaq ka ziker hay .

quran ki ru-h se 3talaq ke maani ye hein ke jabh......tamaam zarrori marahil teh ho jaaein to iss ke badh , talaq yani elehdgi (sepration) ka faisala ho jaye ga or miyaan (husban) or bivi ( wife) alug ho jaaien gaye . ISSE PEHLI MARTABA KI TALLAQ kaha jaaye ga , iss ke badh ager miyan , bivi chahein , or raza mandh ho jaaien , to dobara azdwaji zindagi baser ker sakte hein , LEKIN APNI MARZI SE NAHI , ADALAT IS KA FAISLA KERE GI , iss tarah ager ager doosri baar bhi nobat alehdagi tak pohach jaay , to ye doosri talaaq ho gi , or iss ke badh bhi inn ke rishta e azdwaajh qaim ker lene ki ijazat ho gi , lekin teesri baar iss surat e hal pe wo apus mein shdi nahi ker sakein gaye .

ye alug baat hay ke ager naya khawadh mer jaaye , ya mardh ki nai bivi or unn mein bhi ager talaq ho jay , ya mer jaye , to wo apus mein (under a new contract) nikah ker lein.
ye hay quran ki ru-h se 3talaq ka matlab. *

xxkamixx 4.01.11 - 02:20am
abh iss silsila mein bhi rawayaat oa ahadees per aik nazer daaliye ,
baaz rawayaat is qisam ki hein , jinn se zahir hota hay ke 3talaq , aik aik mahh ke waqfe se 3mahh mein 3talaqein poori kerna!

or baaz rawayaat se ye zahir hota hay ke aik hi nishist mein yak baargi talaq talaq talaq keh dene se , 3talqein poori kerna !

lekinn !!!!! inn ke sath ye rawayaat bhi saame aati hein !!!! ke

HAZRAT E RAKKANA (ra) ne apni bivi ko aik talaq NABI E AKRAM (saw) ke zamana mein di , jis ke badh HAZOOR (SAW) ne inn ki bivi ko unn ki taraf wapas lota dia , phir 2oosri talaq unnho ne HAZART E UMMER (ra) ke zamana mein di , or 3eesri HAZRAT E USMAAN(ra) ke zamana mein di.( mishkaat al masaavi , baab talaq o khula) ba hawala , ABBU DAOOD, TIRMAZI, IBN E MAJHA, DAARMI.

isss liay hum bawer ker sakte hein ke ye rawayt darust hay , chunke ye quran ke khilaf nahi , or qurani tareeqa ke mutabiq hay .

aap ne ghor kia ke sahi or ghalat tasleem kerne ka mayyar kia hona chahiye?
qurani mayyar kia hay?
humein iss mayaar ke mutabiq tamaam muamlaat perakhne chahiy. or sirf unn hi waqyaat ko darust tasleem kerna chaiye jo quran ke mutabiq hoon.

uss asool ke teht jo kuch ho raha hay ( murawija mazhab ke teht) wo quran ke khilaf hay .or mehz jazbaat ki satah pe toot maar ! iss ki nisbat kabhi bhi RASOOL ALLAH(saw) ki taraf nahi ki jaa sakti. or humein ye tasleem kerna ho ga ke ye sub , badh ka waza kerda hay .

humari koshish ye honi chahiye ke iss badh ke waza kerda MAZHAB ki jaga wo DEEN lay lay jo ALLAH ne QURAN mein nazal farmaya hay.

iss deen mein wo uljhanei,n kabhi nahi paida ho sakti,n jin ka jiger kharash tazkara mazkoora bala satoor mein kia gaya hay. *

xxkamixx 4.01.11 - 02:35am
AKHIR !
mein aik ghalat fehmi ka azaala zarrori mehsoos hota hay .

or wo ye ke ...mazkoora bala teheer se aik bunyadi swaal zarror zehn mein paida hota hay , ke , iss qisam ka islam , inthai MORDON islam hay , ya iski koi nai qism !
or shaid ye WETREN yani maghrabi tehzeeb se mutasar mazhab ki koi nai qisam hay ?

mazkoora bala tehreer mein zair e behs ( under disscusion) gharailu zindagi, or ijtemai zindagi ki jo halat paish ki gai hay , wo humare purane ( old fasion) gharano ki hay . jahaan tak new or modron fasiond gharo,n ka taluq hay . inn ki halat iss se bhi badh-terr hay ! or wo iss faraq ke sath , ke qadh-aamat patast gharon ki AAG , tap e dhiqq ki aag e khamosh ki tarah, andher hi anhder , aman o sakoon ko jala ker rakh ker deti hay , jab ke inn modrn gharo,n ki aag SERSAAM ke shola e jwala ki terah bhadak ker tamasha dikhati hay . *

shamma 4.01.11 - 02:43am
Yaha se bahir nikal ao! Dekho duniya kitni khoobsurat hain. *

shamma 4.01.11 - 02:44am
Woops 4got 2 say lol so lol.GIF *

xxkamixx 4.01.11 - 02:58am
ye ghar maghrabi tehzeeeb ke andhhe namoone hein ,maghrab yani west mein hua ye hay ke , ke khudh humari hi tarah ki khudh saakhta shreeyt , or uss ki CHRISTIAN shakal o surat ke mazaahab ne , hazaaro saalo,n se oarat per jo zulm or istabdaadh musalat ker rakha tha uss ke re-action ke tor per , orat ke dil mein inteqaam ke jo sholay bhadak rahe thay , unn se wo baghawat or be-baaki ka mujasma ban ker saame aai .or badh qismati se humaari orat ne issi ko tehzeeb smajh rakha hay . or iss ke peeche danda lay ker bhaghne waalo ko hum ne islam ke alam berdaar !

west mein jab ye soorat e haal saamne aai iss ka sub se pehla nateeja ye nikla ke azdwaaji zindagi aik kar o bar ban ker reh gai. or miyan bivi ki zindagi bilkul aise reh gai jaise aik dokan ke 2hissa-dar.
jab tak kar-o-bar munafa bakhsh raha unna ka taluq qim raha or jab iss mein nuqsan hua , isse chod ker naya kar-o-bar shuru ker dia .

iss sharaqat mein ghalib humaisha orat hi hoti hay kiun ke uss ne iss cotract mein aisi sharaayt likha rakhi hoti hain , jinn mein mardh humaish dhaba rehta hay . shuru shuru mein unn ki ye shraqat bilkul haywaani satah ( animal level) per hoti hay, jis mein waja e ishtaraq jinnci jazbaat or zindagi ke tabaee taqazo,n ke se bulandh kio nahi hota, phir kuch arsa badh ye taluq bhi mehz matchinee ban ker reh jata hay , or iss kar-o-bar ko qaim bhi iss liay rakha jata hay ke mashra mein miyaan or bivi ki haysiyat se mutaraf raha ja sake.

sochiye jis ghar ki imarat inn bunyaado,n oer khadi ho uss mein skoon or itminaan kahaa,n se aa sakta hay ? *

xxkamixx 4.01.11 - 03:07am
gharo,n ke ander haqeeqi sakoon or itminaan ussi wakat ho sakta hay jab hum unn khudh sakhta zanjero,n ko tod dein , jinn mein humari orat hazaaron bers se qaid chali aa rahi hay , dooosri taraf unn be-baakio ko qanoon ke zaria se rokein jinnhein hum ne west ki andhi taqleedh mein ikhtyaar ker rakha hay . or wo qanoon sirf wo deen humein de sakta hay jo quran ne humein de rakha hay , yahi wo aik tareeqa hay jinn se hum haqeeqi azaadi ki zindagi baser ker sakte hein , jin se humare ghar tasveer e jahanam hone ki bajaay jannti fizaaon se mamoor ho sakte hein.

shukria ! *

swtzainb 4.01.11 - 04:45am
reading.GIF *

swtzainb 23.04.11 - 03:20am
kisi kaam ka aaghaz iski nisf kaamyabi he bagher maqsad ke zindagi kabhi paedaar nahi guzarti soo aaghaz behtar aur maqsad behtreen hona chahiye

jis cheez ko dekhney se nazar kharaab ho usey na dekhna behtar he

aadmi jab tak tot'ta nahi usey pata nahi chalta ke wo kitna mazboot he

kirdaar ki mazboti maiN doo cheezain shamil haiN aik quwwat-iraadi aur dosri zabt-e nafs

muhabbat main muhabbat jaaiz he dhoka jaaiz nahi
*

swtzainb 23.04.11 - 03:22am

insaan shakhsi irteqaa ke ibtedaai adwaar maiN gili mitti ki manind hotey haiN jinhaiN muashrey ka Kumhaar tarbiyat ki chaak par dharta he or bazar-e hayaat ki maang ko madd-e nazar rakh kar apni niyat or chahat ke hathoN se aik khaas saanchey maiN dhaalta he is qaalib saazi ke douraan is ki ungliyaan har bartan ke badan par reetoN , riwaayatoN , mazhab, syasat, jazboN, khwaboN or saraboN ki an'ginat pecheeda tehreeraiN raqam karti haiN
gili mitti ke ye saanchey haalat ke aawey maiN dhaltey haiN in marahil se guzartey hoey har bartan ka zaraf aur naseeb uski heiyat ka ta'ayyun karta he . kuch saffal gar ki be'joujihi ka shikaar hojatey haiN , kuch is ke anaRi pan ki nazar ho jatey haiN. kuch aawey ki dehek bardasht nahi kar patey or tarakh jatey haiN kuch aese bhi hotey haiN jo bazar tak to puhunchtey haiN magar unhaiN koi khareedar muyassar nahi aata un ka naseeb or bazar ka asloob har zarf ka muqaam tey karta he . guldaan or peekdaan maiN saakht ka faraq bhaley na ho magar naseeb ka faraq zuroor hota he


iqtebaas by Bushra saeed...
*

xxkamixx 23.04.11 - 04:42am
wah . itne dino badh is gadhe murde ko kisi ne ukhada !

zainab ap ki postin or inn dono khobsurat tehreero,n ke liay be had shukria . kirdaar ke hawaale se kisi door mein iss baat pe bohat zoor dia jata tha or shaid aaj bhi aisa hi hay mager pehle ki banisbat abh shaid hum jis tarah apni infaradi or ijtmaai zindagi ke her shobe mein shikast o raikht ka shikar hein , ikhlaaqiyaat or husn e kirdar mein bhi mamla shaid iss se mukhtalif nahi hay , behar haal umeed pe duniya qaim hay or hum bhi ,

aik baat jo mujhe aik ustaad ne bataai thi , tareekh ke hawala se mein usko yahaan likh deta hoon taake ap ki tehreer ki hosla afzaai ho sake, btaya jis tarah mujhe gaya hay waise hi toote phoote andaaz mein likh raha hoon.

Teepu Sultan se kisi ne poocha ke jang or mohabat mein kia sub kuch jaaiz hay .

Teepu ne aik tareekhi jawaab dia ke . ye qol to angraiz ka hay humra to mana hay ke jang ho ya mohabat iss mein hona wohi chahiay jo jaaiz ho . *

z_haidar 23.04.11 - 05:40am
Hmmmmm!! reading2.GIF *

saira33 23.04.11 - 08:45am
Ummm realy nyc postng! *

jawariya 23.04.11 - 11:34am
Zindagi aur samander badey hi purasraar hain' wo insaan ki khuwahishon ke tabey nahin hote. *

jawariya 23.04.11 - 11:39am
Muhabbat to amar bel hai jo jis darakht pe charh jae to wo darakht aik din ap hee ap mar jata hai.. (Bano Qudsia) *

samina11 23.04.11 - 02:36pm
BEHTREEN Hai Wo Shakhs Jo Dair Se Khafa Ho Aur Jaldi Maan Jaey.

BAD-TAREEN Hai Wo Shakhs Jo Jaldi Ghussa Ho Aur Dair Tak Naraaz Rahay. *

swtzainb 24.04.11 - 12:03pm
ummmm thnx 4 sharing..... *

swtzainb 24.04.11 - 12:03pm


35748305587422623772.gif *

samina11 24.04.11 - 03:12pm
Wow so btfl shrng znb! V v good2.GIF *

xxkamixx 14.06.11 - 03:47am
Dasht-e-tanhaayi mein...
Aye jaan-e-jahaan larzaan hai...

Teri aawaaz ke saaye...
Tere honthon ke seraab..
Dasht-e-tanhaayi mein...
Aye jaan-e-jahaan larzaan hai...
Teri aawaaz ke saaye...
Tere honthon ke seraab...

Dasht-e-tanhaayi mein...
Doori ke khas-o-khaag tale...
Khil rahe hain tere pehlu ke samen aur gulaab...
Dasht-e-tanhaayi mein...
Aye jaan-e-jahaan larzaan hai...
Dasht-e-tanhaayi mein...

Uth rahi hai kahin qurbat se...
Teri saans ki aanch...
Apni khushboo mein sulaghti hui...
Maddham, maddham...
Door ufaq paar chamakti hui..

qatra qatra...
Mil rahi hai teri dildaar nazar ki shabnam...

Dasht-e-tanhaayi mein..
Aye jaan-e-jahan larzaan hai...
Dasht-e-tanhaayi mein...

Is qadar pyaar se...
Aye jaan-e-jahaan rakkha hai...
Dil ke rukhsaar pe is waqt...

Teri yaad ne haath..
Yunh ghumaan hota hai...
Garje hai abhi subh-e-firaaq...
Dhal gaya hijr ka din...
Aaa bhi gayi wasl-ki-raat...

Dasht-e-tanhaayi mein...
Aye jaan-e-jahan larzaan hai...
Teri aawaaz ke saaye..
Tere honthon ke seraab...
*

xxkamixx 14.06.11 - 03:55am
QAYAMAT !

Hum Dekhain Gay
We shall see

Lazim Hai ke hum Bhi Dekhain Gay
certainly we, too, will see/ We shall see

Woh Din ke Jis ka Wadah Hai
that day that has been promised us

Jo Loh-e-Azl pe Likha hai
Which is written with Gods ink

Hum Dekhain Gay
We shall see

Jab Zulm-o-Sitam ke Koh-e-garaan
When the mountains of cruelty and torture

Ruii ki Tarah Urd Jain Gay
Will fly like pieces of cotton

Hum Mehkumoon ke Paun Talay
Under the feet of the governed

Yeh Dharti Dhard Dhard Dhardkay gi
this earth shiver, shake and beat

Aur Ehl-e-Hukum ke Sar Uper
And over the head of the ruler
Jab Bijli kard Kard Kardke gi
When lightening will thunder
Hum Dekhain Gay
We shall see

Jab Arz-e-Khuda ke kabay se
When from this Gods earths (Kaaba)
Sab but Uthwaaiy Jain gay
All the idols will be removed

Hum Ehl-e-Safa Mardood-e-Haram

Then we, of clean heartscondemned by
zealots those keepers of faith

Masnad pe Bithaaiy jain gay
We, will be invited to that altar to sit and Govern

Sab Taaj Uchalay jain gay
When crowns will be thrown off

Sab Takht Giraaiy Jain gay
and over turned will be thrones

Bas Naam rahay Ga Allah ka
Then only Gods name will remain

Jo Ghayab Bhi hai Hazir Bhi
Who is invisible and visible too

Jo r bhi hai manzar bhi
Who is the seer and and is seen

Uthay ga an*lhaq ka Naara
When the anthem of truth will be raised

Jo Main bhi Hun aur Tumbhi ho
Who I am too, And so are you

Aur Raaj karay gi khalq-e-Khuda
And the people of God will rule

Jo main bhi hun aur tum bhi ho
Who I am too, And so are you

Hum Dekhain Gay
We shall see

Lazim Hai ke hum Bhi Dekhain Gay
certainly we, too, will see/ We shall see
Hum Dekhain Gay
We shall see

-

*

saira33 14.06.11 - 03:48pm
Buetiful shrng kami! Keep shrng
*

acmi 15.06.11 - 05:30pm
Beautiful sharing kamran.
Itna time hogaya UM men aaj pehli bar is topic ko iski posts ko dehaan se read karny ka mauqa mila.
Bas thori dair pehly jee men aya isay dekha jaye ye kya hy to phir mjhy andaza hoa k UM k behtaren topics men se ek hy or iski tareef na karna is k sath bht bari zeyadati hogi.
is topic men bht kam ki or buhat khubsurat tehrerein add hen.mjhy apni aqal sharef k lehaaz se ye thora difficult laga but jawab ni.. *

acmi 15.06.11 - 05:32pm
Yahan par sab members ne kamal ki posts ki hen mujhy chhor kar.
maza aa gaya read kar k thanks 4 sharings friend.aagay b karty rahiye ga. *

xxkamixx 29.06.11 - 05:51pm
thanks yar apki shering ka bhi be had shukria . Kisi zamane mein hum chand doston ne shairy se hat ker kuch kerna chaha tha to ye bhi unn dinno ki bat thi . Mushkil tehreerein thi mager sub ne bharpoor koshish ki jis ka nateeja pichle pages ki soorat mein samne ayea . Sarahne ka aik bar phir se shukria . Umeed hay ke ap bhi kuch na kuch zaroor share kerna chaho gaye . *

i_am_ur 29.06.11 - 06:43pm
sachi bta00n tau mujhy b bah0t pasand hy ye thread, lekan bad-qismati ka00n ya apna ghar sanjeeda pann k adab me intrest h0ty huvy b tym nhi dy pata is badm k0 .. K0shish kr rha h00n khud me badla0 lanay ki, umeed-e-wasiq hy k jald sanjeedgi ka libada 0dhay zar00r shirkat kr00nga ic halqa-e-yaaran me ... :-) *

acmi 29.06.11 - 07:47pm
Thanks yar kyun ni inshaallah kuch mil jaye zaror post krnga,waisy b UM k kai topics hen jin men dil krta hy post karny ko but jis tarah k wo topics hen us tarah ki koi chez ni milti ab post is liye ni krta k kahin ghalti na ho jaye iske alawa or koi bat ni k koi sochy k men kisi k topic ko nazar'andaaz krta hun aisa ni waisy main bht bar UM men hota hun topics par but kisi ko pata ni hota main read kr rha hota hun.or yar ali wah yar tm log jis tarah ki guftugu krty ho mjhy b sekha do maza aata hy parh kar. *

xxkamixx 7.01.15 - 02:45am
Ajeeb bat hay raat 12baje aik sahab ne , jo udru ko urdu nah manay per ba zidh hein ne aik iqtebas unhi ke apne aik risala se email kia , meine basadh shoq padha, mazmoon bhi kiun ke tanqeedh tha , is hawala se to kam o besh mujh per lazim tha ke mein zaroor padhta mager afsoos hua , tang nazri ko bhi abh aik shaista mazmoon mil gaya bil aakhir orwo jo tanqeedh ko hararat or taqat smjhte thay ,inke bhi kuch hosh thikanay aaye.

Khair , abh jo yad aya to kabi is mozu per koi murasla kahin derjh tha , phir socha , bat badi purani ha , na jane kis kone mein kahin radhi ke dhair take kahin chand aik sathren derj hon gi , sahib chodo , ankgen bandh kero or so jao , mager neendh kahaan ?

Urdu mag khola to goya dabistaa'n khulgaya . Koi doosra to hay bhi nahi jisse mukhatab ker sakun so murasla na sahi mukalmah sahi or mukalmah nahi so khudh kalami hi sahi .

Raat ke 2bajh chuke hein , so jao miyaan , tanqeedh per apnay naye or puranay mokaf per hairangi kesi ? ye bhi bhala koi baat hay pereshani ki ? Kon sa roz hay jo ik naya din nahi lata ?

Na bhaya na . Hum wohi purane ache ! *

z_haidar 27.02.15 - 07:18pm
wah bhaiya... *

6-<< 2-<


* Reply
* UrdUMaG Forum


Search:
topics replies


* UrdUMaG

Create Your Own App Store

topTop
groupsGroups
mainProdigits

Create Your Own App Store