Mobi Groups
Download Free Apps & Games @ PHONEKY.com

UrdUMaG - Topics
Create Your Own App Store

* UrdUMaG > Topics


Subject: ~*~MY~FAV~POEMS~*~
Replies: 1060 Views: 55348
6-<< 2-< 1-> 7->>

z_haidar 6.04.10 - 07:30pm
Wah g wah aap ne to dhoom macha di....V good... *

missujan 6.04.10 - 07:36pm
Kash..
Dil ki awaz
me itna Asar ho jaye,
hum aapko yaad kare aur apko khabar ho jaye.
Aaj rab se itni hi dua hai, Aap jo bhi chahe wo haqiqat ho jaye *

missujan 6.04.10 - 07:37pm
Rehna Tu
Hai Jaisa TU
Thoda sa dard tu
Thoda Sukun

Rehna Tu
Hai Jaisa TU
Dheema Dheema jhonka
Ya phir junoon
Thoda sa reshma
Tu humdam
Thoda sa khurdura
Kabhi daud jaye
Ya lad jaye
Ya khushboo se bhara

Tujhe badalna na chahoon
Rati bhar bhi sanam
Bina sajawat milawat
Na jyaada na hi kaam..
arey koi too mera
dil ki awaaz
sunoooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooo *

z_haidar 6.04.10 - 07:49pm
~*~QASAM LY LO~*~
...............................
Tumhary baad
kisi ka Khawab Dekha ho,
~*~
Kisi ko hum ne Chaha ho,
~*~
Kisi ko hum ne Socha ho,
~*~
Kisi ki Aarzo ki ho,
~*~
Kisi ki Justujoo ki ho,
~*~
Kisi ki raah dekhi ho,
~*~
Kisi Ka Qurb Maanga ho,
~*~
Kisi ko Sath rakha Ho,
~*~
Kisi se Aas Rakhi ho,
~*~
Koi Umeed Baandhi ho,
~*~
Koi Dil main Utara ho,
~*~
Koi Tum se pyara ho,
~*~
Koi Dil main Baraya ho,
~*~
Koi Apna Banaya ho,
~*~
Koi Rootha ho to Hum ne,
~*~
Usay ro ro k Manaya ho,
~*~
Kisi ki Yaad ka Mosam,
~*~
Mere Aangan main Khila ho,
~*~
Kisi se Baat karny ko,
~*~
Kabhi ye Hont Tarsey hon,
~*~
Kisi ki Bewafai per,
~*~
Kabhi ye nahi barsay hon,
~*~
Qasam Ly Lo,
~*~

QASAM LY LO..!!!
~*~
~*~
(ZESHAN~HAIDAR) *

missujan 6.04.10 - 08:05pm
Khud ko is dil main basane ki ijazat de do

Khud ko is dil main basane ki ijazat de do
Mujh ko tum apna banane ki Ijazat de do

Tum meri zindagi ka aik haseen lamha ho
Phoolon se khud ko sajane ki Ijazat de do

Main kitna chaha hoon kis tarha bataoon tumhain
Mujhe yeh aaj batane ki ijazat de do

Tumhari raat si zulfon main chand sa chehra
Mujhe yeh sham sajane ki Ijazat de do

Mujhe qaid kar lo apnay ishq main
Yeh jaan tum pe lootane ki Ijazat de do
*

missujan 6.04.10 - 08:05pm
Na janay kyon wo mujhse muskura k milta hai,
Ander k saray gham chupa k milta hai,
Janta hai ankhein such bol jati hain,
Shayed isiliye nazrain jhuka k milta hai.
Ye Jaan kar us ki har baat per yaqeen kar liya faraz
Itne Haseen Labon se wo Johoot kese bolti ho gi
Humein tumse mohabbat hai, ye sab ko pata hai
Par tumko bataana hai, zara der lagegi

Izhaar zubaa se toe sab hi karte hain
Par aankhon se bataana hai, zara der lagegi

Manzil tak ka safar lamba toe nahin hai
Par agar tanha bitaana ho, zara der lagegi

Ye haar jeet toe hain jeevan ke do pehlu
Par aaj haara hoon pehli baar aur khud ko samajhaana hai, zara der lagegi
Bahane banane se aap ki baat Karte hain,
Har pal tujhe yaad karte hain,
Jitni bar aap sans bhi na lete honge,
Utni bar hum aap ko yaad karte hain.
Yaad aye kabhi to aankhein band na karna,
Hum chalain bhi jayein to ghum na karna,
Yeh zaruri nahi k hamhare rishtey ka koi naam ho,
Par mohabbat ka ehsaas dil se kam na karna..
Mushkilen dil k irade aazmayen gi
Nigahon se khuwabon k parde hataye gi

Gir kar kabhi himat na harna
Yehi thokren tumhain zindagi main chalna sikhayen gi
Baha k Aansoon mere woh
kehte hain

Faraz

Tumhari aankhoon mein paani
kitna haseen lagta hai.
Hichkion ka aana ye batata hy,
Koi humain yaad kar k khud ko rulata hay,

Dil nahi samajhta magar ye tu such hay,
Shiddat se yaad hamain bhi koi aata hai.
Dil me kuch nahi aaj dard k siwa, Ankhon main kuch nahi aaj teri yaad k siwa
Tum chorhna mat kabhi saath mera, Zindagi main kuch nahi tere sath k siwa
Jise paa nahi sakte use hi pane ko ji karta hai,
Toot jate hain hum phir b umar bhar jine ko ji karta hai
Kaise keh dein apna nahi paraya hai wo, Jise har lamha pyar karne ko ji karta hai
*

samira18 6.04.10 - 09:12pm
Misujan ap ki poem bht zabrdast hai *

samira18 6.04.10 - 09:14pm
Haider g apki poem bh bht ache hai *

swtshona 6.04.10 - 10:19pm
SPRB POETRY GUYZ KEEP IT UP. *

z_haidar 7.04.10 - 04:31am
Thanks samira@swe....Shairi pasnd karnay ka bohot bohot shukria... *

missujan 7.04.10 - 05:43am
thanx @ samira & sweeet SHONA *

missujan 7.04.10 - 05:45am
Ghanay Darakht K Neechay Sula K Chor Gaya
Ajeeb Shaks Tha Sapnay Dikha K Chor Gaya
Yeah Ujra Ghar To Usii Aik Ki Nishaani Hai
Tu Apne Naam Ki Takhti Laga K Chor Gaya

Hum To Tinkay Chun Rahay Thay Aashiynay K Liyeah
Aap Say Kiss Nai Kaha Bijli Giranay K Liyeah
Haath Thak Jain Gay Kiyoon Pees Rahay Ho Mehndi
Khoon Haazir Hai Hatheli Pay Laganay K Liyeah

Ishq Ko Dard E Sir Kehnay Walaoon Suno
Kuch Bhi Ho Hum Nai Yeah Dard E Sir Lay Liya
Woh Nigaahon Say Bach Ker Kahan Jain Gay
Ub To Un K Mohallay Mein Ghar Lay Lia

Aa'ye Bun Thun K Shehr E Khamooshaan Mein Wo
Qabr Daikhi Jo Meri To Kehnay Lagay
Aray Aaj Itni To Is Ki Taraqqi Howi
Aik Bayghar Nai Acha Sa Ghar Lay Lia

Idhar Zindagi Ka Janaza Uthay Ga
Udhar Zindagi Un Ki Dulhan Banay Gi
Qayamat Say Pehlay Qayamat Hai Yaaro
Mairay Samnay Meri Dunya Lutay Gi

Jawani Pay Meri Sitam Dhanay Waloon
Zara Sooch Lo Kia Kahay Ga Zamana
Idhar Miaray Armaan Kafan Pehn Lain Gay
Udhar Un K Haathon Pay Mehndi Lagay Gi

Woh Parday K Peechay Mein Parday K Aaagay
Na Woh Aain Aagay Na Mein Jaaon Peechay
Woh Aagay Barhein Gay To Kuch Bhi Na Hoga
Mein Peechay Hatoon Gi To Dunya Hasay Gi

Azal Say Mohabbat Ki Dushman Hai Dunya
Kaheen Do Diloon Ko Milnay Na Day Gi
Idhar Mairay Dil Per Khanjar Chalay Ga

//meri maut pariyon ke jhurmat mein hogi
//janaza haseenon ke kaandhe pe hoga
//kafan mera hoga unhe ki chadar
//bari dhoom se meri mayyat uthay gi

Abhi Un K Hasnay K Din Hein Wo Hasn Lain
Abhi Mairay Ronay K Din Hein Mein Ro Loon
Magar Aik Din Un Ko Rona Paray Ga
K Jiss Din Bhi Meri Mayyat Uthay Gi *

shiza_a 7.04.10 - 09:45am
Very nice poetry haider g misujan g... Haider g hm ap se naraz nah hai... Misujan hm naraz nah hai haider se *

z_haidar 7.04.10 - 02:45pm
Thanks sheeza...Always be happy like roses... *

z_haidar 7.04.10 - 03:03pm
Wo Moj-e-Tabassum Shgufta Shgufta,
~*~
~*~
Wo Bhola Sa Chehra Kitabi Kitabi,
~*~
~*~
Wo Sumbal Se Gesu Sunehry Sunehry,
~*~
~*~
Wo Makhmoor Aankhen Gulabi Gulabi,
~*~
~*~
Kabhi Khush Mizaji Kabhi Beneyazi,
~*~
~*~
Abhi Hoshyari Abhi Neem Khuwabi,
~*~
~*~
Qadam Behkay Behkay Nazar Khoi Khoi,
~*~
~*~
Wo Makhmoor Lehja Sharabi Sharabi,
~*~
~*~
Idher Chand Aansu Sawali Sawali,
~*~
~*~
Udher Kuch Tabassum Jawabi Jawabi,
~*~
~*~
Na Honton Pe Surkhi Na Aankhon Main Kajal,
~*~
~*~
Na Haathon Main Kangan Na Peron Main Payal,
~*~
~*~
MAGAR HUSN-E-SADA MISAALI MISAALI..!!!

~*~
SPECILLY 4 *CASCAD18*
~*~
~*~
(ZESHAN~HAIDAR) *

cascad18 7.04.10 - 04:40pm
you are shooooo shweettt Z bhaiya... Such a nyc poetry you postd 4 me... Em shooo happy now....thank_you.GIF bhaiya :) *

shiza_a 7.04.10 - 04:46pm
Haider g nice poetry lekhe hai apne mere kozn ke lye *

z_haidar 7.04.10 - 05:12pm
U r welcom sis...And sheeza dear aap ka bhi bohot bohot shukria shairi pasand karne ka...... *

missujan 7.04.10 - 05:45pm
Dost Kya Hai Ye Kya Bataoon Mai
Ek Jazbaat Ki Siyahi Hai

Jo Ittefaq Se Likhi Maine [Ittefaq=by-Chance]
Ek Be-Hosh Aashnaa-Ii Hai

Wo Jo Kehta Nahi Kisi Se Mai
Chahe Walid Hon Ya Wo Bhai Hai [Walid = Father]

Aaina Hai Wo Mere Jazbon Ka
Ke Jisne Shakl Aur Paa-Ii Hai

Ek Kandha Ke Jispe Royen Garaan [Garaan=heavily]
Gosh Me Tarz Wo Samaa-Ii Hai [Gosh=ear, Tarz=lyrics]

Ek Dil Wo Jo Jiski Dhadkan Bin
Meri Ye Zindagi Fana-Ii Hai [Fanaa-Ii=death]

Hai Ye Chhota Sa Lafz Rishton Ka
Isme Lekin Wo Gehraa-Ii Hai

Jaise Saagar Azeem Lehron Ki [Azeem=great]
Justju Gharq-E-Shakebaa-Ii Hai [Justju=desire, Gharq=drown, Shakebaa-Ii=peace]

Dost Aisi Kitaab Hai Jo Kay
Umra Bhar Likhho Bhi To Poori Na Ho

Jild Jiski Hai Pyar Ki Lehren
e Do Zindagi Samaa-Ii Hai

Dost Kya Hai Ye Kya Bataoon Mai
Ek Jazbaat Ki Siyahi Hai

Jo Ittefaq Se Likhi Maine
Ek Be-Hosh Aashnaa-Ii Hai
-----SHAFI----- *

missujan 7.04.10 - 05:46pm
Dil par nahin hota kaaboo kisika
Dil kho jaaye to kya kare
Dheeme se koi jaadoo chal jaaye
Aur pyar ho jaaye to kya kare?

Haule haule madham madham
Chaahaton ke silsile shuru hote hain
Is chaahat ko jo koi na rok paaye
Aur pyar ho jaaye to kya kare?

Kehte hain log ki pyar na karna
Pyar mein log deewane ho jaate hain
Lekin yeh deewngi hi jo lubhaane lage
Aur pyar ho jaaye to kya kare?

Madhhoshi mein dil ko paaya
Aur davaa na koi kaam aayee
Lekin madhhoshi ko jo koi manzil samjhe
Aur pyar ho jaaye to kya kare?

Dil ke darwaaje band liye hain
Ki dil mein na koi bas jaaye
Lekin yeh dil hi jo na rahe apna
Aur pyar ho jaaye to kya kare?

Samjhe to hain bahut kuch samajhna
Lekin jazbaaton ki hain kahan wajaah koi
Bewajaah jo koi bhaane lage
Aur pyar ho jaaye to kya kare?

Daavaa to hum bhi kar sakte hain
Ki pyar nahin karenge hum
Par pyar par kahan chalta hain zor kisika
Jo pyar ho jaaye to kya kare?

Chaliye, pyar se bekhabar ho jaate hain hum
Pyar nahin hume yeh soch lete hain hum
Lekin gar pyar basa rahe dil mein
To is pyar ka hum kya kare?

Bhoolne ko to hum pyar ko bhool jaaye
Pyar ke saath dekhe har khwab ko bhool jaaye
Lekin dil par kahan chalta hain zor kisika
Is dil ka kaho hum kya kare?

Dil par nahin chalta zor kisika
Dil kho gaya humaara ab hum kya kare
Dheeme se koi jaadoo chal gaya
Aur pyar ho gaya ab hum kya kare??
*

missujan 7.04.10 - 05:47pm
Ik Paagal Sa Larka Tha
Apnay Aap Main Gum Sum Sa
Zakham Milay Tu Bhi Muskata Rehta Tha
Logon Pe Aitbaar Ker K Us Ne Bohat Dhokay Khaay
Jitnay Bhi Dost Milay Sabb Ne Usay Zakham Lagaay
So Sabb Se Door Khawab Nager Main
Us Ne Apni Dunia Basa Li
Apni Jannat,Apna Dozakh,Apnay Log
Apnay Dukh Apnay Aap Se Kehta Tha
Sabb K Dukh Apnay Dukh Samjhta Tha
Sabb Main Apni Khushian Baant'ta Rehta Tha
Us Ki Dunia Main Hawass Ka Ziker Na Tha
Us Ki Dunia Main Dolat Ki Perwa Na Thi
Us Ki Dunia K Khushboo Jesay Log Thay
Us Ki Dunia Main Naferton Ki Hawa Na Thi
Phir Jaanay Us Pagglay Ko Kis Ki Nazer Lagi
Us Ko Bhi Ik Chaand Nager Ki Raani Se
Muhabbat Ho Gayee
Us Ki Apni Dunia,Takht-O-Taaj
Chaahat Aag Main Jall Gay
Us Ki Dunia Ujer Gayee
Us Ne Chanda Raani Ko Paana Chaaha Tu
Us Ki Hasti Bikher Gayee
Zaat Paat K Pujaarion Ne
Jhooti Dunia K Shaahon Ne
Us K Dil Ko
Rooh-O-Jigar Ko
Zakham Zakham Kia
Us Ki Muskaan Chheen Li
Suna Hay Us Ne Muhabbat Per Sabb
Tann Mann Dhann Waar Dia Tha
Raah-E-Wafa Main
Naam-E-Wafa Per
Apna Sabb Kuchh Haar Dia Tha
Per Dunia Ne Us Ko Gham K Siwa Kuch Na Dia
Phir Us Ne Marr Jana Chaaha
Per Mout Na Maani
So Suna Hay Abhi Bhi Kisi Laash Ki Maan'nad Zinda Hay
Abhi Bhi Khokhlay Qehqahay Lagata Hay
Aur Raat Ko Sab Se Chhup Ker Chaand K Sath Mil Ker
Aansoo Bahaata Hay
Suna Hay Aajkal Us Ko Muhabbat Se Nafrat Ho Gayee Hay
Apni Dunia Alag Se Banaanay Ki Soch Raha Hay
Phir Se Apni Dunia Main Jaanay Ki Soch Raha Hay
So Sab Chaahnay Walo Dua Kero
Ye Pagla Sa Larka Jis Ko Jhooti Dunia Ne
Masoom Natt Khtt Larkay Se
Bikhera Toota Aadmi Bana Dia
Jis K Khawab Nager Ko Jala Dia
Phir Se Apni Dunia Basanay Main Kamyab Ho Jay
Apni Masti Main Kho Jay Phir
Chaahat Rog Ko Bhula De
Is Sog Ko Bhula De *

z_haidar 7.04.10 - 06:05pm
Superb brother.,i like very very much, specilly ''pyar ho jaye'' wali nazzm..Thanks 4 shairing..Keep it up.. *

missujan 7.04.10 - 06:17pm
Kitne ajeeb rishte hai yahan pe
Do pal milte hai saath saath chalte hai
Jab mod aaye toh bach ke nikalte hai
Jitne ajeeb rishtey hai yahan pe
Do pal milte hai saath saath chalte hai
Kitne ajeeb rishtey hai yahan pe

Yahan sabhi apni hi dhun main deewane hai
Kare wahi jo apna dil ki hi mane hai
Kaun kisko pooche kaun kisko bole
Sabke labon par apne tarane hai
Le jaye nasib kisiko kahape
Kitne ajeeb rishtey hai yaha pe


Raahen le jaye jaha sangh sangh chalna hai
Waqt ne hamesha yaha naye khel khele
Kuch bhi ho jaye yaha bas khush rehna hai
Manzil lage kareeb sabko yahape
Kitne ajeeb rishtey hai yahan pe
Do pal milte hai saath saath chalte hai
Jab mod aaye toh bach ke nikalte hai
Kitne ajeeb rishtey hai yahan pe
*

missujan 7.04.10 - 06:18pm
Aasmaan ko chukar dekha
Taron ke karli savari
Chand per bhi nacche hum
Ki Tofaano se yaari

Aasmaan ko chukar dekha
Taron ke karli savari
Chand per bhi nacche hum
Ki Tofaano se yaari

Kya karun kya nahi
Baat ki se kahi nahi
Maujmasti ki adat meri
bachpan se gai nahi

Pagalpan yeh kasia hai
Kaam yeh jaisa taisa hai
Sochti nazakat hai
Thodi si shararat hai

Tedha yeh samaan kyon hai
Aafat mein jaan kyon hai
Mach raha bawaal kyon hai
Ulta yeh dimaag kyon hai

Aasmaan ko chukar dekha
Taron ke karli savari
Chand per bhi nacche hum
Ki Tofaano se yaari

Yeh Yeh yeh ankh micholi
Choor dhaku bhoot toli
b*m b*m bajrang bali
Maha bali maha bali
Khalbali hi khalbali
Dekho hai ho chali
Dharti sagar taare raj mere hi pyareeee

Aasmaan ko chukar dekha
Taron ke karli savari
Chand per bhi nacche hum
Ki Tofaano se yaari

Kya karun kya nahi
Baat ki se kahi nahi
Maujmasti ki adat meri
bachpan se gai nahi


Aasmaan ko chukar dekha
Taron ke karli savari
Chand per bhi nacche hum
Ki Tofaano se yaari *

shiza_a 7.04.10 - 08:26pm
Very nice poem misujan *

cascad18 7.04.10 - 08:28pm
nyc sharing *

ajnabii 7.04.10 - 08:51pm
NICE POEMZ BRO KEEP IT UP THANK YOU...blossom.GIF *

missujan 8.04.10 - 12:29pm
thanx ajnabi,shiza & casd18 *

missujan 8.04.10 - 12:30pm
Teri yaad nay

Teri yaad nay meray dil ko saja rakha hai
teray pyar main sab ko bhula rakha hai

kuch acha nahin legta teri judai kay baad
ek teri yaad ko sinay say laga rakha hai

tera milna to abb aik khawab hi lagta hai
najanay abb kyoon dil ko bhula rakha hai

sab kuch lut gaya hamara teray pyar main
teri yaad ko palkoon main chupa rakha hai

muqadar say miltay hain bichar kay warna
ajj bhi tera naam dil main saja rakha hai

najanay koi nahin basta teray siva ankh main
aik teri tasveer ko dil main chupa rakha hai
*

missujan 8.04.10 - 12:30pm
Muqaddar ka sitaaron par,

Zamanon ka ishaaron par,

Udasi ke kinaaron par,

Kabhi weeran shehron mai,

Kabhi sunsaan raston par,

kabhi hairaan aankhon mai,

Kabhi be-jaan lamhon par,

Tumhari yaad chupke se,

Koi sargoshi karti hai,

Yeh palken bheeg jati hain,

To aansoo toot girtey hain,

Mai palkon ko jhukata hoon,

Bazahir muskurata hoon,

Faqat etna hi kehta hoon,

Mujhe kitna satati ho,

Mujhe Tum Yaad aati ho!!!
*

missujan 8.04.10 - 12:30pm
Usay Bhi Apnay Kiye Ka Malaal Hona Hay~

Abhi to ishq main aisa bhi haal hona hay
K ashq rokna tum se mohaal hona hay

Har aik lab pe hay meri wafa k afsanay
Tere sitaam ko abhi lazawal hona hay

Tumhain khabar hi nahin tum to loot jao gay
Tumharay hijar main ik lamha sal hona hay

Humari rooh pe jaab bhi azaab otrain hay
Tumhari yaad ko is dil ki dhaal hona hay

Kabhi to roye ga woh bhi kisi ki bahoon main
Kabhi to us ki hansi ko zawal hona hay

Milay gi hum ko bhi apne naseeb ki khushiyaan
Bas intizaar hay kab yeh kamal hona hay

Har aik shaks chalay ga humari rahoon per
Mohabatoon main humahin woh misaal hona hay

Zamana jis k kham-o-peech main olajh jaye
Humari zaat ko aisa sawal hona hay

yaqeen hay mujh ko woh loot aye ga
Usay bhi apne kiye ka malal hona
hay *

missujan 8.04.10 - 12:36pm
Bohat dino ki baat thi
shabab per bahar thi
fiza bhi khushgawar thi
na jaane kioun machal para
main apne ghar se chal para
kisi ne mujh ko rok ker
bari aada se tok ker
kaha ke laut ayyee
meri qasam na jayyee
meri qasam na jayyee
magar mujhe khabar na thi
mahaul per nazar na thi
na janey kioun machal para
main apney ghar se chal para
phir shehar se main aa gaya
khayal tha ke paa gaya
usey jo mujh se durr thi
magar meri zaroor thi
phir ik haseen shaam ko
main chal para salam ko
gali ka rang dekh ker
naye tarang dekh ker
mujhe bari khushi hui
main kuch isi khushi main tha
kisi ne jhank ker kaha
paraye ghar se jayyee
meri qasam na ayyee
meri qasam na ayyee
wohi haseen shaam hai
bahar jis ka naam hai
chala hoon ghar ko chor ker
na janey jaoon ga kidhar
koi nahin jo rok ker
koi nahin jo tok ker
kahay ke laut ayyee
meri qasam na jayyee
meri qasam na jayyee
*

cascad18 8.04.10 - 12:45pm
AJAB PAGAL SII LARKII

mujhay har khat may likhti hay
mujhy tum yaad kartay ho
tumhain may yaad aati hoon
mairi batain satati hain
mairi nendain jagati hin
mairi aankhain rulati hain

december key sunairi dhop may
ab bhee tahltay ho ??
kisssi khamosh rastay say
koi aawaz aati hay
kissi khamosh rastay say
koi aawaz aati hay

thhitarti sard raton may
tum ab bhee chat pay jatay ho ?
falak kay sabz sitaron ko
mairi batain sunatay ho
kitabon say tumharay ishq may
koi kamii aai
yaa mairi yaad key shidat say
aankhon may namii aai
ajab pagal see larkey hay
mujhay har khat may likhti ay

jawaban us ko may likhta hoon
mairi masroofiyat dekho
subah say shaam office may
chiirag e ummar jalta hay
phir us kay baad dunya key
kahee majboriyan
paon may bheeriyan dal rakhti hain
mujhay be fikar chahat say
sapnay nahi dikhtay
tahalnay ,jagnay ,rounay key muhallat hee nahi myltii
sitaron say myllay arsa hua
narazz hon shayad?
kitabon say af maira
abhee wesay hee qaeem hay
faraq itna pada hay ab
unhain arsay may padhta hoon
Tumhay kiss nay kaha pagli
tumhay may yadd karta hoon

kay may khud ko bhulanay kee
musalsal justujoo may hoon
tumhay na yaad aanay kee
musalsal justujoo may hoon
magar yah justujoo mairi
buhat nakam rahti hay
maray dyn raat may ab bhee
tumhari shaam rahti hay
mairay lafzoon key har maala
tumharay naam rahti hay
tumhay kiss nay kaha paglii
tumhay may yaad karta hoon

puranee baat hay jo log
aksar gungunatay hain
unhain hum yaad kartay hain
jinhain hum bhool jaty hain
Ajab pagal sii lakey hai
mairi masroofiyat dekho
tumhay dyl say bhulaon tu
tumhari yaad aaye na
tumhay dyl say bhulanay key
mujhay fursaat nahi mylti
aur is masroof jeevan may
tumharay khat ka aik jumla
tumhay may yaad aati hoon
mairi chahat key shiddat may
kammi honay nahi daita
buhat ratain jagata hay
mujhay soynay nahi daita
so agli baar khat may
yah jumla nahi likhna
ajab pagal see larki hay
mujhay phir bhee yah likhti hay
mujhay tum yaad kartay ho
tumhay may yaad aati hoon

poetry by Atif saeed *

zakkhan 8.04.10 - 01:19pm
Meri chashm-e-khushk mei ratjage ka dia na ban k jala karo
Isey aaNsuoN se nawaaz do mera zakhm zakhm hara karo

Jo ayaaN khuloos ki leher hai ye gharaz fareib ka zeher hai
Ye naye mizaaj ka sheher hai zara faasle se mila karo

Chalo jo tumhaara usool hai dil o jaaN se hamko qubool hai
Ye jafa tumhari sarisht hai to jafaaoN pe bhi jafa karo

Main kisi ka aks-e-jamaal huN, main vujud huN k khayal huN
Mujhe apni koi khabar miley mujhe aaine se reha karo

Na ye zom hai na futoor hai ye chalan hi mera ghuroor hai
Mujhe kya jhukaaoge meh-vasho jo haseen ho to hua karo

Ye meri shanaakht ka lafz hai magar ajnabi ki c tarz hai
Isey martaba miley naam ka isey in laboN se ada karo

Jo nahi wo waqt to kya hua kisi bhi firaun ka khauf kya
K tumhaare hath qalam to hai so isi se kaar-e-asa karo *

z_haidar 8.04.10 - 01:28pm
Wow superb missujin@zak@cascad...Aap sab ne bohot khubsorat nazzmen likhi hain, i like very much...Thanks 4 shairing... *

sajjad85 8.04.10 - 01:28pm
Uff casci ji! Sardi ke mausam ki shayri garmiyo0n men? Bohat atchay! punish.GIF *

z_haidar 8.04.10 - 02:55pm
~*~WO RANGON MAIN DHALI LARKI~*~
. . . . . . . . . . . . . . . . .
Wo Rangon main Dhali Larki,
~*~
Kabhi Jab Baat karti hai,
~*~
To is k Lafz Khushbo ki Tarah mehsoos hote hain,
~*~
Wo Hansti hai to Jaise Saar Aalam is Hansi main Doob jata hai,
~*~
Wo Lab is K, Wo Aankhen aur Wo Chehre ki Shadaabi,
~*~
K Jaise Apsara Koi,
~*~
Wo Mera Naam Leti hai to Meri Rooh main Jaise Nasha sa Ek Utarta hai,
~*~
Mera ManN Jhoom Uthta hai,
~*~
''WO RANGON MAIN DHALI LARKI''
~*~
Jhokaye apni Palkon ko Kabhi Mujh se Jo kehti hai,
~*~
Mujhe Tum Se Mohabbat Hai,
~*~
To is ka Sharmaghen Lehja Yaqeen Mujhko Dilata hai k,
~*~
Duniya Khobsorat hai,
~*~
''WO RANGON MAIN DHALI LARKI''
~*~
Udaasi k Ghany Sayaon ko Jab Bhi Orrh leti hai,
~*~
Mera Dil Khoon Rota hai,
~*~
Main is ki Sharbati Aankhon k Num se Bheeg jata hon,
~*~
''WO RANGON MAIN DHALI LARKI''
~*~
Jisey Mujh Se Mohabbat Hai,
~*~
Mera Izhaar Sunti hai To phir Sab Bhool jati hai,
~*~
Jhokaye apni Palkon ko Aise Muskurati hai,
~*~
K Jaise Apsara Koi,
~*~
''WO RANGON MAIN DHALI LARKI''
~*~
Mere Lafzon main Rehti hai,
~*~
Mujhe Aksar Ye Kehti Hai,
~*~
MUJHE TUM SE MOHABBAT HAI...!!!
~*~

~*~This Is My Fav Poem~*~
~*~
~*~
(ZESHAN~HAIDAR) *

shiza_a 8.04.10 - 03:11pm
@cascad@zakkhan @haider g bht khubsurt poems lekhe hai ap sub ne *

ur_love 8.04.10 - 05:50pm
hmmm!! so Nyc Zeee flower2.GIF .. bahot a6i *

cascad18 8.04.10 - 08:40pm
Zee bhaiya awesome .. *

cascad18 8.04.10 - 08:44pm
sajjoo bhaiya yaha aap nay sirf sardi key poem dekhi yah nahi feel kiya kay aik larkey apnay mahbob say kiya waadah lay rahee hay .. jo aksar muhabbat ho janay kay baad do dyllo may aik weham baith jata hay kay douri honay par kiya woh hamay yaad rakhay gain ..aik khof aik daar .. khiar mujhay is poem kay words buhat pasan d aaye thay so may nay post kar dee yah nahi dekha season konsa hay :) *

z_haidar 9.04.10 - 06:10am
Thanks...Sheeza@cascad18@my love ur.Love.... *

sajjad85 9.04.10 - 12:30pm
@ casci, Hein laakh0n rog zamaane mein, q ishq hy ruswa becharaw!

Koi jazba mehsus karne k liye us jazbe se guzar kar ana zaroori hyna.

Chalo mein b ek nazam share karta hun....


*

sajjad85 9.04.10 - 12:32pm
Tu ek ped hai
men nanhi si bel
muje sahara de ga to utha jao0ngi
yad rahe
men is ehsan ka badla do0ngi
teri shakh0n ke daman ko
phoolon se bhar do0ngi. *

cascad18 9.04.10 - 12:34pm
lakhon rog zamanay may honay kay bajood loug ishaq ka rog kio paltay hain :) *

cascad18 9.04.10 - 12:34pm
wow nyc poetry sajjuu bhaia *

missujan 9.04.10 - 01:42pm
Sochta hon k usey neend bhi aati hogi
Ya faqat meri tarah ashk bahaati hogi
Woh meri shakal mera naam bhulane wali
Apni tasveer se kyaa aankh milaati hogi
Sham hote hi wo chaukhat pe chala kar shammaein
Apni palkon pe kaii khwaab sajaati hogi
Us ne silwaa bhi liye honge siyaah rang libaas
Ab Moharram ki tarah Eid manaati hogi
Dil ki masoom ragein khud hi sulagti hongi
Juhin tasveer ka kona wo jalaati hogi
Roop de kar mujhe is main kisi shehzade ka
Apne bachon ko kahaani woh sunaati hogi

*

missujan 9.04.10 - 03:18pm
NASEEB AZMANAY KE DIN AA RAHAY HEIN...
QAREEB UN KE ANAY KE DIN A RAHAY HEN..
JO DIL SE KAHA HA JO DIL SE SUNA HAI...
SAB UNKO SUNANAY K DIN AA RAHAY HEN
ABHI SE DILO JAN SARE RAH RAKH DO
K LUTNAY LUTANAY K DIN A RAHAY HEN...
TAPAKNAY LAGGI HAI NIGAHON SE MASTI...
NIGAHEN CHURANE K DIN AA RAHAY HEN
SABA PHER HUME POCHTI PHER RAHI HAI..
CHAMAN KO SAJANAY K DIN A RAHAY HEN..
CHALO FAIZ PHER SE KAHAIN DIL LAGAYEN..
SUNA HA THIKANAY K DIN A RHAY HEN..
*

z_haidar 9.04.10 - 05:57pm
V nice.,miss. *

missujan 9.04.10 - 06:03pm
thans @ z haider *

6-<< 2-< 1-> 7->>


* Reply
* UrdUMaG Forum


Search:
topics replies


* UrdUMaG

Create Your Own App Store

topTop
groupsGroups
mainProdigits

Create Your Own App Store