Mobi Groups
Download Free Apps & Games @ PHONEKY.com

UrdUMaG - Topics
Create Your Own App Store

* UrdUMaG > Topics


Subject: Shayr Ba-Unwaan ( DIL* )
Replies: 595 Views: 26962
1-> 7->>

sajjad85 8.06.10 - 09:21am
A.o.A. UrduMaG members..

***Shayr Ba-Unwaan***
(Poetry by Topic)

youn tou hamaray group men shayri ke b0hat saare topic hyn. Jo k hamare group ki pehchan b hyn.

Yahan par sirf muntkhib unwan pe shayri post ki jayegi.

Iss topic men har hafte (week) ek naya unwan (topic) hoga.

Aur is hafte ka unwan hy....

*DIL*

*

daisy4u 8.06.10 - 10:01am
Hmmm...... Nice sajid bro *

daisy4u 8.06.10 - 10:07am
Aaj rootha huwa ek dost bhot yaad aaya
Acha guzra huwa kuch waqt bhot yaad aaya
Meri aankhon k her ik ashk pr rone wala
Aaj jb aankh yeh roee to bhot yaad aaya
Jo mere dard ko seeney mein chupa leta tha
Aaj jb dard huwa mujh ko to bhot yaad aaya
Jo meri aankh me kajal ki tarha rhta hai
Aaj kajal jo lagaya to bhot yaad aaya
Jo mere dil k tha qareeb faqat us ko he
Aaj jb dil nay bulaya to bhot yaad aaya.. *

umeedpak 8.06.10 - 10:21am
Thanks for opening the new topic.
*

umeedpak 8.06.10 - 10:27am
Kabhi aansoo to kabhi khushi bechi
Hum garibon ne to apni bebasi bechi
Chand sanse kharidne ke liye hamne
Roz thori thori si apni zindagi bechi
Jab rulane laga khud ka saya hame
Apni zindagi ki bhuji hui si roshni bechi
Ek hum the jo bik gaye dosti me khud hi
Warna duniya walo ne to apni dosti bechi
*

humma 8.06.10 - 03:14pm
Kuch Beete Pal Ki Yaad Sajaye Rakhna,
Kuch Aane Wale Pal Se Aarzu Lagaye Rakhna,
Pal To Yuhi Aate Jate Rahenge Ae Dost,
Bas Apne Hontho Pe Muskaan Yuhi Banaye Rakna *

i_am_ur 8.06.10 - 04:57pm

..
Tere Baghair Na Guzry Gi Zindagi ay Dost ..
,
Main Kiya Karunga Zamany Ki Dosti ley Kr .?
*

daisy4u 9.06.10 - 07:50am
andhery ne kbhi roshni nhi dekhi
Maut ne kbhi zindgi nhi dekhi
Jo kahtey hai mit jati hai duriyon se dosti
Unho ne shayd humari dosti nhi dekhi.. *

cascad18 9.06.10 - 12:22pm
wow waqar tum bhi ab topic par parti te karnay lagay .. thanx dear hug.GIF,, nyc sharing... *

cascad18 9.06.10 - 12:24pm
achi poetry aap sab nay share key hay dosti kay unwan par.. sajjuu bhaiya nyc topic par please ab gayib mat hona issay continue rakhiye ga.. hehehe *

cascad18 9.06.10 - 01:08pm
dost ban kar bhii nahin sath nibhanay wala
vahii andaaz hai zaalim kaa zamaanay wala

ab issay log samjhtay hain giraftaar meraa
saKht nadiim hai mujhe daam main laane wala

kyaa kahain kitane maraasim the hamaare is se
wo jo ik shaKhs hai monh pher ke jaane wala

tere hote hue aa jaatii thii saarii duniyaa
aaj tanhaa hon to koii nahiin aane wala

muntazir kis kaa hon TuuTii huii dahaliiz pe main
kaun aayegaa yahaan kaun hai aane wala

main ne dekhaa hai bahaaron main chaman ko jalate
hai koii Khvaab kii taabiir bataane wala

kyaa Khabar thii jo merii jaan main ghulaa hai itanaa
hai vahii mujh ko sar-e-daar bhii laane wala

tum taqalluf ko bhii iKhalaas samajhate ho 'Faraz'
dost hotaa nahiin har haath milaane wala
*

i_am_ur 10.06.10 - 02:06pm
.
___GXP8BGfPsWDyYFLPIVPR.jpg *

maida21 10.06.10 - 02:21pm
very nice design im-ur.clap2.GIF *

maida21 10.06.10 - 02:21pm
Woh ek dost jo khuda sa lagta hai,
Bahut pass hai dil ke phir bhi juda sa lagta hai,
Bahut dino se aaya nahi koi paigam uska,
Shayad kisi baat pe khafa sa lagta hai.
*

z_haidar 10.06.10 - 06:51pm
Nice disining poetry n pic..Aliclap3.GIF rose.GIF *

sajjad85 11.06.10 - 05:29am
Kia khabar tum ko dosti kia hai
Ye roshni bhi hai andhera bhi hai
Khwahishon say bhara jazeera bhi hai
Bohat anmol ik heera bhi hai
Dosti ik haseen khwab bhi hai
Pass say dekho tou sarab bhi hai
Dukh milnay pe ye azab bhi hai
Aur ye piyar ka jawaz bhi hai
Dosti yoon tou maya jaal bhi hai
Ik haqeeqat bhi hai khayal bhi hai
Kabhi furqat kabhi vissal bhi hai
Kabhi zameen kabhi falak bhi hai
Dosti jhoot bhi hai such bhi hai
Dil main reh jaiay tou kassuk bhi hai
Kabhi ye haar kabhi jeet bhi hai
Dosti saaz bhi sangeet bhi hai
Sheir bhi nazam bhi geet bhi hai
Wafa kia hai wafa bhi dosti hai
Dil say nikli dua bhi dosti hai
Bus itna samajh lay tou
Payar ki inteha bhi dosti hai *

sajjad85 17.06.10 - 04:54pm
Tamam dost0n ka shukrya, Dosti pe b0hat kh0obso0rat shayri post karne ka.


*

sajjad85 17.06.10 - 04:56pm
Is hafte ka unwan hy

*KHALISH*

umeed hy bharpoor shirkat karengay. *

maida21 17.06.10 - 07:03pm
Samay-samay ki khalish mein tera malal rahe
judaaiyon mein bhi yoon aalam-e-visaal rahe

ana ki jang mein hum jeet to gaye lekin
phir us ke baad bahut der tak nidhaal rahe

raah-e junoon mein yahi zaad-e-raah hota hai
ke justuju badhe deewngi bahaal rahe

haseen raatein bhi mehkien tumhari yaadon se
kare dinon mein bhi pal-pal tera khayaal rahe

tu ek baar zara kishtiyaan jala to sahi
hai kya majaal ke ek lamha bhi zawaal rahe
*

sajjad85 18.06.10 - 06:16am
Bohat umda! *

i_am_ur 18.06.10 - 01:25pm
.
adhooray khwaab ke andar
kabhi palkain bichana mat !!

adhooray khwaab aankhon ko bohat takleef daitay hein !!

adhori yaad ko dil ki zameen main tum nahin bona !!

adhori yaad dharkan main buhat chubti sisakti hai !!

KHALISH ban ker khatakti hai !!

lahoo main bijliyan ban ker bhatakti hai !!

adhoray payar ko ...
laikin chalo choro,

janay do is ko tum !!

Muhabat, Piyar, Chahat, Ishq hotay hi adhooray hain ..!!
*

swtzainb 18.06.10 - 01:27pm
UMMMM NYC *

z_haidar 18.06.10 - 02:08pm
ummmma ummmmma clap3.GIF *

sajjad85 18.06.10 - 02:47pm
koii mere dil se puuchhe tere teer-e-neem-kash ko

ye *Khalish* kahaan se hotii jo jigar ke paar hotaa

[Mirza Ghalib] *

sajjad85 18.06.10 - 02:56pm
jo masarraton men Khalish nahien jo aziiyaton men mazaa nahien
tere husn kaa bhi qusuur hai mere ishq hi ki Khataa nahien


mere dard men ye Khalish kahaan, mere soz men ye tapish kahaan
kisi aur hi ki pukaar hai merii zindagii ki sadaa nahien

[Jigar Moradabadi] *

sajjad85 19.06.10 - 08:50am
ai dil kii Khalish chal yuun hii sahii, chalataa to huun un kii mahafil men
us vaqt mujhe chaunkaa denaa jab rang pe mahafil aa jaaye

[Behzad Lucknawi] *

i_am_ur 24.06.10 - 02:16am

.
Ik Khalish ko haasil-e-umr-
e-ravaaN rehne diya
.

jaan kar ham ny unheeN
naaN-mehrabaaN rehne
diya
.

Kitni diivaarooN ky sayee
haath phailatey rahey
.

ishq ne lekin hameeN
beKhaanamaaN rahne
diya
.

Apne apne hausley apni
talab ki baat he
.

chun liya ham ney
unheeN, saraa jahaaN
rehney diya
.

Yeh bhi kya jeeney meiN
jeena he baghair un key
Adeeb
.

shamha gul kar di gayi,
baqii duaaN rehne diya .!!
*

sajjad85 24.06.10 - 05:38am
Wah ji wah kya kahne apke! Kh0ob. *

sajjad85 24.06.10 - 05:41am
Ye Kis Khalish Ne Phir Is Dil Men Aashiyaanaa Kiyaa
Phir Aaj Kis Ne Sukhan Ham Se Gaayebaanaa Kiyaa


Gam-E-Jahaan Ho, Rukh-E-Yaar Ho Ke Dast-E-Uduu
Salook Jis Se Kiyaa Hamane Aashiqaanaa Kiyaa


The Khaak-E-Raah Bhii Ham Log Qahar-E-Tuufaan Bhii
Sahaa To Kyaa Na Sahaa Aur Kiyaa To Kyaa Na Kiyaa


Khushaa Ke Aaj Har Ik Mudda_Ii Ke Lab Par Hai
Vo Raaz Jis Ne Hamen Raand-E-Zamaanaa Kiyaa


Vo Hiilaagar Jo Vafaajuu Bhii Hai Jafaakhuu Bhii
Kiyaa Bhii Faiz To Kis But Se Dostaanaa Kiyaa

(Faiz Ahmed Faiz) *

ulfat_85 24.06.10 - 09:25am
Samay-samay ki khalish mein tera malal rahe
judaaiyon mein bhi yoon aalam-e-visaal rahe

ana ki jang mein hum jeet to gaye lekin
phir us ke baad bahut der tak nidhaal rahe

raah-e junoon mein yahi zaad-e-raah hota hai
ke justuju badhe deewngi bahaal rahe

haseen raatein bhi mehkien tumhari yaadon se
kare dinon mein bhi pal-pal tera khayaal rahe

tu ek baar zara kishtiyaan jala to sahi
hai kya majaal ke ek lamha bhi zawaal rahe


*

cascad18 24.06.10 - 01:04pm
ye kis Khalish ne phir is dil me.n aashiyaanaa kiyaa
phir aaj kis ne suKhan ham se Gaayebaanaa kiyaa


[Faiz Ahmed Faiz] *

cascad18 24.06.10 - 01:05pm
vo na aaye to sataatii hai Khalish sii dil ko
vo jo aaye to Khalish aur javaa.N hotii hai
[Sahir Hoshiarpuri] *

cascad18 24.06.10 - 01:32pm
vo Khalish jis se thaa hangaamaa-e-hastii barpaa
vaqf-e-betaabi-e-Khaamosh huii jaatii hai *

cascad18 24.06.10 - 01:33pm
Kyon Khalish na paida ho ji mein
kyon teer jigar ke paar na ho
aankhein dekhein jab zulm-o-sitam
bismil dil kyon bimaar na ho... *

cascad18 24.06.10 - 01:34pm
Ik khalish ko haasil-e-umr-e-ravaan rahaney diyaa
Jaan kar ham ne unhein naa-meharabaan rahane diyaa

Adeeb Saharanapuri *

hibahst 24.06.10 - 01:36pm
mere dard mein ye Khalish kahaan mere soz mein ye tapish kahaan
kisii aur hii kii pukaar hai merii zindagii kii sadaa nahiin *

hibahst 24.06.10 - 01:36pm
khalish ke saath is dil se meri jaan nikal na jayee
khainchay teer aashnayee magar 'ahista ahista' *

hibahst 24.06.10 - 01:37pm
kyaa Khabar thii Khalish-e-naaz na jiine degii
ye terii pyaar kii aavaaz na jiine degii

''Jigar'' muradabadi *

hibahst 24.06.10 - 01:38pm
raahat-e-beKhalish agar mil bhii gaii to kyaa mazaa
talKhi-e-Gam bhii chaahiye baadaa-e-Khush-gavaar mein *

sajjad85 24.06.10 - 02:25pm
Wah ji wah! Bohat kh0ob ! clap.GIF *

i_am_ur 2.07.10 - 03:57pm
.
well, @saj bhaiya to kahin gum hain shayad .. to NEXT Topic Main hi diye deta hoon ..[b]
.
[b]@UM ic hafty ka Topic hai ''ZINDAGI''

.
1626751.jpg *

i_am_ur 2.07.10 - 04:09pm
.
ZINDAGIi kanch ka khilona
.
akhir toot jana hay
.
do ghrhi baith merey pass
.
mujh ko boht dur jana hay
.
tu ne hasi dekhi hay mere gham nhi dekhey
.
mere paon main musafton k zakhum nhi dekhey
.
yado ka hasil b akhir bhool jana hay
.
main us ko paney ki khwahish main khud ko kho baitha hoon
.
jo mera ho nhi skta main us ka ho betha hoon
.
bohat masoom chaht hay bara zalim zaman hay
.
zindagi kanch ka khilona hay akhir toot jana hay ..!!
*

sajjad85 2.07.10 - 06:42pm
So nice of you ALI. *

sajjad85 2.07.10 - 06:43pm
Kagaz pe humne zindagi likh di
Ashkon se seench har khushi likh di
Dard jab humne ubhara lafzon pe
Logon ne kaha wah kya ghazal likh di *

maida21 3.07.10 - 10:11am
SHAM-E-GHAM JAB BIKHAR GAIE HO GI
JANE KIS KIS K GHAR GAIE HO GI
CHANDNI AIK SHAB KI MEHMAAN THI
SUBHA HOTY HI MAR GAIE HO GI
DAIR TAK WO KHAFA RAHY MUJH SE
DOOR TAK YE KHABAR GAIE HO GI
JIS TARAF WO SAFAR PE NIKLA HAI
SARI RONAQ UDHAR GAIE HO GI
YA TA'ALLUQ NIBHA NAHI PAYA
YA TABIAT HI BHAR GAIE HO GI
TERI PAL BHR KI DOSTI ULFAT
US KO BADNAM KAR GAIE HO GI
*

z_haidar 6.07.10 - 12:11am
ZINDAGI Dard ki Suli Se Sadaa Deti Hai,
~*~
~*~
Kesi Duniya Hai K Jeeny Ki Saza Deti Hai,
~*~
~*~
Tere Hathon Ki Kramat Ki To Phir Baat Hi Kya Hai,
~*~
~*~
Mujh Ko To Tere Qadmon Ki Mitti Bhi Shafa Deti Hai,
~*~
~*~
Kyun Aag Dikhaty Ho Nasheman Ko Mere,
~*~
~*~
Mujh Ko To Barf Ki Thandak Bi Jala Deti Hai,
~*~
~*~
Koi Kya Kharidy Ga Niwalon Main Mujhe,
~*~
~*~
Aysa Khudar Hoo Jisey Bhook Bhi Maza Deti Hai,
~*~
~*~
Na Janey Kis K Gham Main Yeh Sawan Ki Ghata Roti Hai,
~*~
~*~
Aisy Roti Hai K SAGAR Ko Bhi Rula Deti Hai..!!!

~*~
~*~
(ZESHAN~HAIDAR) *

sajjad85 6.07.10 - 05:04am
Nice.. ZeE! You always bring class *

i_am_ur 6.07.10 - 07:02am
..
ZINDAGI u to Mukammal thi Apni Wasi~ ...
,
Jany Q Us ko socha to Apni Zaat mein Kammi Pai ......!!!
*

nasheen1 6.07.10 - 10:23am
Khwaab TuuT Jaate haiN.

Khwaab TuuT jaate haiN
bhiiR meN zamaane kii, haath ChhuuT jaate haiN
dost_daar lehje meN silwateN sii paRti haiN
ik zara si ranjish se
shak ki zard Tehni par phuul badgumani ke
is tarah se khilte haiN
zindagi se pyaare bhii
ajnabi se lagte haiN, ghair ban ke milte haiN
umr bhar ki chaahat ko aasra nahiiN milta
Khamushi ke waqfoN meN
baat TuuT jaati hai aur sira nahiiN milta!
maazrat ke lafzoN ko raushni nahiiN milti
lazzat-e-paziirai, phir kabhi nahiiN milti
phuul rang vaadoN ki manzileN sukaRti haiN
raah muRne lagti hai
berukhi ke gare se bedili ki mitti se
faasle ki iintoN se, iint juRne lagtii hai
khaak uRne lagtii hai
Khwaab TuuT jaate haiN
vaahmoN ke saaye se, umr bhar ki mehnat ko
pal meN luuT jaate haiN
ik zara si ranjish se
saath ChhuuT haiN
bhiiR meN zamane kii
haath ChhuuT jaate haiN
Khwaab TuuT jaate haiN
*

i_am_ur 6.07.10 - 09:17pm
itz brlnt @Nashi ,, bahot bahot a6i poem hai rose.GIF *

i_am_ur 6.07.10 - 09:37pm

..
.
Zindagi kay melay
main,
.
khuwahishoon kay
relay main
.
tumsay kia kahain
janaan,
is qadar
jhamelay main
.
waqt ki rawani hai,
.
bakht ki girani hai
.
sakht bay-
zameeni hai,
.
sakht
la-makani hai
.
hijr kay samandar
main
.
takht aur takhtay
ki 1 hi kahani hai
.
tum ko jo sunani
hai,
baat go zara si hai,
baat umar bhar ki
hai
.
umar bhar ki
baatain kab do
ghari main hoti
hain ?
.
dard kay
samandar main
un-ginat jazeeray
hain, bay-shumaar
moti hain
.
aankh kay
dareechay main
tumnay jo sajaya
hai
.
baat is diyay ki hai,
baat is gilay ki hai,
.
jo laho ki khilwat
main chor ban kar
aata hai
.
lafz ki faseloon
par toot toot jata
hai
.
zindagi say lambi
hai, baat rat-jagay
ki hai
.
raastay main
kaisay ho
baat takhliyay ki
hai
.
takhliyay ki batoon
main guftugoo izafi
hai
.
piyar karnay
waloon ko ek nigah
kafi hai
.

''Ho sakay to sun
jao, ek din akailay
main !!
.
''Tumsay kia kahain
janan ! is qadar
jhamelay main''
*

1-> 7->>


* Reply
* UrdUMaG Forum


Search:
topics replies


* UrdUMaG

Create Your Own App Store

topTop
groupsGroups
mainProdigits

Create Your Own App Store