Mobi Groups
Download Free Apps & Games @ PHONEKY.com

UrdUMaG - Topics
Create Your Own App Store

* UrdUMaG > Topics


Subject: ~*~Shairy-e-Shraab~*~
Replies: 332 Views: 15929
1-> 7->>

z_haidar 10.01.12 - 06:47am
chhalak ke kam na ho aisii koii sharaab nahiin
nigaah-e-nargis-e-r'anaa teraa javaab nahiin
*
zamiin jaag rahii hai ki inqalaab hai kal
vo raat hai koii zarraa bhii mahv-e-Khvaab nahiin
*
zamiin us kii falak us kaa qaayanaat us kii
kuchh aisaa ishq teraa Khaanamaa_Kharaab nahiin
*
jo tere dard se maharuum hai yahaan un ko
Gam-e-jahaan bhii sunaa hai ki dastayaab nahiin
*
abhii kuchh aur ho insaan kaa lahuu paanii
abhii hayaat ke chehare pe aab-o-taab nahiin
*
dikhaa to detii hai behatar hayaat ke sapane
Kharaab ho ke bhii ye zindagii Kharaab nahiin..

*

z_haidar 10.01.12 - 06:50am
*~* I WANT 2 DIE *~*

*~*FARQ*~*
*Farq Sirf Itna Sa Hy*


*

Teri Doli Uthay gi Meri Mayeeyat Uthy Gi.
Phool Tuj Pay bi Houn Gay Phool Muj Pay bi Houn Gay.
*Farq Sirf Itna Sa Hy*

*

Tu Saaj kay Gai Mujy Sajaya gaya.
Tu bi Ghar ko Chali main bi Ghar ko Chala.
Tera Ghar Tha Bara mera Ghar tha Choota.
*Farq Sirf Itna Sa Hy*

*

Tu Uth kay gai Mujy Uthaya gaya.
Saheliyan Teri bi thi Dost Meray bi thi.
Mehfil Wahan bi lagi Loog yahan bi thy.
*Farq Sirf Itna Sa Hy*

*

Un ka Hansna Wahan Tumhari Taraf orr rona yahan Meri taraf.
Qazi Udher bi Tha Molvi Idher bi tha.
Do Bool teray parhy Do Bool meray parhy.
*Farq Sirf Itna Sa Hy*

*

Tera Nikah Parhaya gaya mera Janaza Garhaya gaya.
Tujy Apnaya gaya mujy Dafnaya gaya.
*Farq Sirf Itna Sa Hy*
*

z_haidar 10.01.12 - 06:53am
sharab kasee..khumar kaisa ,,
yah sab tumhare nazwazishay haii...

*

pilae haii kis nazar say to nay
k mujhe ko apne khyber nahin ..

*

tere chaaa nay teray piyar nay
tere bahke bahkke nigha nay

*

mujhay eik sharabi bana diya
mujhay sharab peena sikha diyaa..


*

z_haidar 10.01.12 - 06:54am
maiN nazar se pii raha huuN ye samaaN badal na jaaye
na jhukaao tum nigaaheN kahiiN raat Dhal na jaaye
*
abhii raat kuch hai baaqii, na uThaa naqaab saaqii
tiraa rind girte girte, kahiiN phir saNbhal na jaaye
*
mirii zindagii ke maalik, mire dil pe haath raKhna
tire aane kii khushii meiN miraa dam nikal na jaaye
*
mire ashk bhii haiN is meN ye sharaab ubal na jaaye
miraa jaam chhuune vaale tiraa haath jal na jaaye
*
maiN banaa to luuN nasheman kisii shaaKh-e-gulsitaaN pe
kahiiN saath aashiyaaN ke ye chaman bhii jal na jaaye
*
mujhe phuuNkne se pehle, miraa dil nikaal lenaa
ye kisii kii hai amaanat, mire saath jal na jaaye...



*

z_haidar 10.01.12 - 06:57am
main to aavaaraa shaayar huun merii kyaa vaqa'at
ek do giit pareshaan se gaa letaa huun
*
gahe gahe kisii naakaam sharaabii kii tarah
ek do zahar ke saaGar bhii charhaa letaa huun
*
tuu ke ik vaadii-e-gul_rang kii shah_zaadii hai
ek bekaar se insaan ke liye vaqf na ho
*
tere Khvaabon ke jaziiron mein barii raunaq hai
ek anjaan se tuufaan ke liye vaqf na ho..
*

z_haidar 10.01.12 - 06:59am
hazaar ahl-e-junuuN halqaa-e-rasan meN rahe
magar Khayaal-e-parastaarii-e-chaman meN rahe
*
tere Khayaal ke ehsaaN raheNge yaad hameN
jis anjuman meN rahe terii anjuman meN rahe
*
gayaa na qaid-e-qafas meN bhii baaNkpan apnaa
usii tarah se rahe jis tarah chaman meN rahe
*
vo Khaar jinse guzarte haiN log bach bach kar
bahaar ban ke vohii mere pairahan meN rahe
*
tamaam raat guzaarii Khayaal-e-KhuubaaN meN
tamaam raat sitaaroN kii anjuman meN rahe
*
kuch is tarah se raho ruuh-e-gulistaaN ban kar
tumhaare baad tumhaarii mahak chaman meN rahe
*
ye iKhtilaaf na ho maikasho meN ai saaqii
nayii sharaab agar saaGhar-e-kuhan meN rahe
*
dar-e-Jigar bhii milaa aastaana-e-Taskeen bhii
Shamim kyuuN na sarfaraaz ahl-e-suKhan meN rahe..

*

z_haidar 10.01.12 - 07:01am
diidah ashkbaar hai apnaa
aur dil-e-be-qaraar hai apnaa
*
chashm-e-giryaaN se, chaak-e-daamaaN se
haal sab aashkaar hai apnaa
*
haa-o-huu meN har ek khoyaa hai
kaun yaaN Gham-gusaar hai apnaa
*
sirf ek vo haiN sab ke muKhtaar
un pe kyaa iKhtiyaar hai apnaa
*
bazm se un ke jab se niklaa hai
dil Gharib-ud-dayaar hai apnaa
*
hai yahii rasm-e-maikadaa shaayad
nashaa un kaa, Khumaar hai apnaa
*
kyaa Ghalat sochte haiN (Z...G)
sher kahnaa shaar hai apnaa..
*

z_haidar 10.01.12 - 07:02am
kitanii pii kaise kaTii raat mujhe hosh nahiin
raat ke saath gaii baat mujhe hosh nahiin
*
mujh ko ye bhii nahiin maaluum ki jaanaa hai kahaan
thaam le koii meraa haath mujhe hosh nahiin
*
aansuon aur sharaabon mein guzar hai ab to
main ne kab dekhii thii barasaat mujhe hosh nahiin
*
jaane kyaa TuuTaa hai paimaanaa ki dil hai meraa
bikhare bikhare hain Khayaalaat mujhe hosh nahiin...

*

z_haidar 10.01.12 - 07:08am
tasavvur

*

phir vahii maange hue lamhe, phir vahii jaam-e-sharaab
phir vahii taariik raaton mein Khayaal-e-maah_taab
*
phir vahii taaron kii peshaanii pe rang-e-laazavaal
phir vahii bhuulii huii baaton kaa dhundhalaa saa Khayaal
*
phir vo aankhen bhiigii bhiigii daaman-e-shab mein udaas
phir vo ummiidon ke madafan zindagii ke aas-paas
*
phir vahii fardaa kii baaten phir vahii miiThe saraab
phir vahii bedaar aankhen phir vahii bedaar Khvaab
*
phir vahii vaaraftagii tanhaaii afasaanon kaa khel
phir vahii ruKhsaar vo aaGosh vo zulf-e-siyaah
*
phir vahii shahar-e-tamannaa phir vahii taariik raah
*
zindagii kii bebasii uff vaqt ke taariik jaal
*
dard bhii chhinane lagaa ummiid bhii chhinane lagii
mujh se merii aarazuu-e-diid bhii chhinane lagii
*
phir vahii taariik maazii phir vahii bekaif haal
phir vahii besoz lamhen phir vahii jaam-e-sharaab
*
phir vahii taariik raaton mein Khayaal-e-maah_taab..

*

z_haidar 10.01.12 - 07:11am
kabhii to aasmaan se chaand utare jaam ho jaaye
tumhaare naam kii ik Khuubasuurat shaam ho jaaye

*
hamaaraa dil savere kaa sunaharaa jaam ho jaaye
charaaGon kii tarah aankhen jalen jab shaam ho jaaye

*
ajab haalaat the yuun dil kaa saudaa ho gayaa aakhir
mohabaat kii havelii jis tarah niilaam ho jaaye

*
samandar ke safar mein is tarah aavaaz do hamako
havaayen tez hon aur kashtiyon mein shaam ho jaaye

*
main Khud bhii ehatiyaatan us galii se kam guzarataa huun,
koii maasuum kyon mere liye badanaam ho jaaye

*
mujhe maaluum hai us kaa Thikaana phir kahaan hogaa
parindaa aasmaan chhuune men jab naakaam ho jaaye

*
ujaale apanii yaadon ke hamaare saath rahane do
na jaane kis galii mein zindagii kii shaam ho jaaye..


*

z_haidar 10.01.12 - 07:13am
nazar nazar se milaakar sharaab piite hain
ham unako paas biThaakar sharaab piite hain

*
isii liye to andheraa hai maikade mein bahut
yahaan gharon ko jalaakar sharaab piite hain

*
hamen tumhaare sivaa kuchh nazar nahiin aataa
tumhen nazar mein sajaakar sharaab piite hain

*
unhiin ke hisse mein aatii hai pyaas hii aksar
jo duusaron ko pilaakar sharaab piite hain ..
*

z_haidar 10.01.12 - 07:14am
jalataa huun hijr-e-shaahid-o-yaad-e-sharaab mein
shauq-e-savaab ne mujhe Daalaa azaab mein
*
kahate hain tum ko hosh nahiin iztaraab mein
saare gile tamaam hu_e ek javaab mein
*
phailii shamiim-e-yaar mere ashk-e-surKh se
dil ko GAzab fishaar huaa pech-o-taab mein
*
rahate hain jamaa kuuchaa-e-jaanaan mein Khaas-o-aam
aabaad ek ghar hai jahaan-e-Kharaab mein
*
badanaam mere giriyaa-e-rusavaa se ho chuke
ab uzr kyaa rahaa nigaah-e-behijaab mein
*
matalab kii justajuu ne ye kyaa haal kar diyaa
hasarat bhii nahiin dil-e-naakaamayaab mein
*
naakaamiyon se kaam rahaa umr bhar hamen
pirii mein yaas hai jo havas thii shabaab mein
*
kyaa jalve yaaad aaye ke apanii Khabar nahiin
be-baadaa mast huun main shab-e-maahataab mein
*
paiham sajuud paa-e-sanam par dam-e-vidaa
Momin Khudaa ko bhuul gaye iztaraab mein.

*

z_haidar 10.01.12 - 07:17am
Meri Nazar ko junoon ka payaam de saaqi
Meri hayaat ko lafani shaam day saaqi
*
Ye roz roz ka peena muhjay acha nahi lagta
Kabhe na hosh main aaon wo jaam day saaqi..
*

z_haidar 10.01.12 - 07:20am
mastaanaa piye jaa yuun hii mastaanaa piye jaa
paimaanaa to kyaa chiiz hai maiKhaanaa piye jaa
*
kar garq may-o-jaam Gam-e-gardish-e-ayyaam
ab ai dil-e-naakaam tuu maiKhaanaa piye jaa
*
may-noshii ke aadaab se aagaah nahiin tuu
jis tarah kahe saaqii-e-maiKhaanaa piye jaa
*
is bastii mein hai vahashat-e-mastii hii se hastii
diivaanaa ban aur baadaa-e-diivaanaa piye jaa
*
maiKhaane ke hangaamen hain kuchh der ke mehamaan
hai subah qariib
(Z) divaanaa piye jaa ..
*

z_haidar 10.01.12 - 07:24am
Dhal gayaa aafataab ai saaqii
laa pilaa de sharaab ai saaqii

*
yaa suraahii lagaa mere muunh se
yaa ulaT de naqaab ai saaqii

*
maikadaa chhor kar kahaan jaauun
hai zamaanaa Kharaab ai saaqii

*
jaam bhar de gunaahagaaron ke
ye bhii hai ik savaab ai saaqii

*
aaj piine de aur piine de
kal karenge hisaab ai saaqii..

*

z_haidar 10.01.12 - 07:25am
saaqiiyaa chhor na khaalii mere paimaane ko
itanii hii de de ke ho jaaaye qasam khaane ko
*
saaqii ye ahad-e-shikan is mein bigaranaa kaisaa
koii paimaan ko tore koii paimaane ko
*
kuchh to ho jaatii hai kam sifat-e-taubaa_shikanii
pii ke ham tor diyaa karate hain paimaane ko
*
jitane muunh utanii hii baaten hain barhe kyuun na junuun
sab ne diivaanaa banaa rakhaa hai diivaane ko..

*

z_haidar 10.01.12 - 07:27am
shikavaa-e-izataraab kaun kare
apanii duniyaa Kharaab kaun kare
*
gin to lete hain ungaliyon pe gunaah
rahamaton kaa hisaab kaun kare
*
ishq kii talKh kaamiyon ke nisaar
zindagii kaamayaab kaun kare
*
daavat-e-mayakashii un aankhon mein
jurrat-e-izataraab kaun kare
*
dil kaa aa_iinaa saamane laakar
tujh ko teraa javaab kaun kare
*
ham se mayakash jo taubaa kar baiThen
phir ye kaar-e-savaab kaun kare
*
Garq-e-jaam-o-sharaab hoke ('Z')
shuGl-e-jaam-o-sharaab kaun kare..

*

z_haidar 10.01.12 - 07:28am
dekh saaqii tere maikade ka kitna pahoNcha huaa riNd hooN maiN

*

jitne aaye haiN mayyat meN merii sab ke sab hi lagaaye hue haiN


*

z_haidar 10.01.12 - 07:30am
apnii soii hui duniaa ko jagaa luuN to chaluuN
apne GhamKhane meN ek dhuum machaa lunn to chaluuN
aur ek jaam-e-mae talKh chaRha luuN to chaluuN
abhi chaltaa huuN zara khud ko sambhaaluuN to chaluuN

*

jaane kab pii thii abhi tak hai Gham-e-mae ka Khumaar
dhundhlaa dhundhlaa sa nazar aata hai jahaan-e-bedaar
aaNdhiyaaN chaltii haiN duniyaa hui jaati hai Ghubaar
aaNkh to mal luuN zara hosh meN aa luuN to chaluuN

*

voh meraa sahar voh ejaaz kahaaN hai laana
merii khoii huii aavaaz kahaaN hai laana
voh mera TuuTaa hua saaz kahaaN hai laana
ek zaraa giit bhi is saaz pe gaa luuN to chaluuN

*

maiN thakaa haaraa tha itne meN jo aaye baadal
kisii matvaale ne chupke se baRhaa di botal
uf voh rangiiN pur-asraar khayaloN ke mahal
aise do-chaar aur mahal bana luuN to chaluuN

*

merii aaNkhoN meN abhi tak hai mohabbat ka ghuruur
mere honToN ko abhii tak hai sadaaqat kar ghuruur
mere maathe pe abhii tak hai sharaafat ka ghuruur
aise vahmoN se Khud ko nikaaluN to chaluuN..
*

z_haidar 10.01.12 - 07:32am
mastii ke phir aa gaye zamaane
aabaad hue sharaab Khaane
*
har phuul chaman mein zar-ba-kaf hai
baante hain bahaar ne Khazaane
*
sab hans pare khil-khilaa ke Gunche
chheraa jo latifaa sabaa ne
*
sar-sabz huaa nihaal-e-Gam bhii
paidaa vo asar kiyaa havaa ne
*
rindon ne pi kar pilaa dii
vaaiz ke na chal sake bahaane
*
kar duungaa main har valii ko maiKhvaar
taufiiq jo dii mujhe Khuda ne
*
ham ne to nisaar kar diyaa dil
ab jaane vo shoKh yaa na jaane
*
begaanaa-e-mai kiyaa hai mujh ko
saaqii kii nigaah-e-aashnaa ne..
*

z_haidar 10.01.12 - 07:34am
Saaqi teri sharaab ne, aisa nashaa diya
dil mein unki yaad thi, usko bhula diya
*
Ye husn kya, shabaab kya, hai kya naseeb mein
aaj toone jaam mein, kya kya mila diya
*
Chhalak ke jaam pee gaya, asar to poochhiye
ke aaj bhooli yaad ne, mujhko rula diya
*
Chhod unki yaad hum, baithe the bazm mein
magar jo maanga jaam to, sheesha hila diya
*
Kab tak chalenge jaam saaqi, kab bujhegi pyaas
khaali dikha ke jaam toone kaisa silaa diya....

*

z_haidar 10.01.12 - 07:34am
sab ko mara Jigar ke sheron ne
*
aur Jigar ko sharab ne mara..
*

z_haidar 10.01.12 - 07:36am
yeh agar intizaam hay saaqi.
phir hamara salam hay saaqi.
*
aaj tu azzne - e - aam hay.
raat rindo ke naam hay saqi.
*
mere saghar main raat utri hay.
chand taaro ka jam hay saqi.
*
aik aayega aik jaayegaa.
meikade ka nizaam hay saqi.
*
jaam totte surahiyaan totte.
yeh bhi aik qatl-e-aam hay saqi.
*
tere hatho se pee raha hon sharab.
maikadha mera naam hay saqi.

*

z_haidar 10.01.12 - 07:37am
jamegii kaise bisaat-e-yaaraaN ke shiisha-o-jaam bujh gaye haiN
sajegii kaise shab-e-nigaaraaN ke dil sar-e-shaam bujh gaye haiN
*
vo tiirgii hai rah-e-butaaN meN chiraaGh-e-ruKh hai na shamma-e-vaadaa
kiran koii aarzuu kii laao ke sab dar-o-baam bujh gaye haiN
*
bahut sambhaalaa vafaa kaa paimaaN magar vo barsii hai ab ke barkhaa
har aik iqraar miT gayaa hai tamaam paiGhaam bujh gaye haiN
*
qariib aaye mai-e-shab-e-Gham, nazar pe khultaa nahiiN kuch is dam
ke dil pe kis kis kaa naqsh baaqii hai, kaun se naam bujh gaye haiN
*
bahaar ab aa ke kyaa karegii ke jin se thaa jashn-e-rang-o-naGhmaa
vo gul sar-e-shaaKh jal gaye haiN, vo dil tah-e-daam bujh gaye haiN..




*

z_haidar 10.01.12 - 07:40am
Lahra ke jhoom jhoom ke la
Phoolon ke ras mein chand ki kiraney mila mila ke la

*

Kehte hai umar rafta kabhi laut ati nahi
Jaa maikadey se meri jawani utha ke la

*

Na samajho ke hum pee gaye peete peete
ke thora sa hum jee gaye peete peete
Humein seedhi rahon ne roka bahut tha
qadam larkhara hi gaye peete peete

*

Ke thora sa hum jee gaye peete peete
Nahi dekhe saqi ne hum sa sharabi

*
Ke maikhane mein bhi gaye peete peete
Ke thora sa hum jee gaye peete peete

*

Kisi ne jo poochha ki kyu pee rahe ho
To hans ke kaha pee gaye peete peete

*

Ke thora sa hum jee gaye peete peete
Nasha ho to kya khauf marne ka adam

*

Ke hum qabar mein bhi gaye peete peete
*

z_haidar 10.01.12 - 07:41am
Ibarat chapii thii mehkhane par,
har shkhsiyat thi wahaan behkane parr

*

maine sharab nahi pee laakh manane par,
bas teraa naam tak chapa tha paimane parr..


*

z_haidar 10.01.12 - 07:42am
go sab ko baahum saaGar-o-baadaa to nahi thaa
ye shahar udaas itanaa ziyaadaa to nahi thaa
*
vaaiz se rah-o-rasm rahii rind se sohabat
farq in me koi itanaa ziyada to nahin thaa
*
thak kar yun he pal bhar ke liye aankh lagii thii
so kar hii na uthein ye iraadaa to nahi tha..




*

z_haidar 10.01.12 - 07:43am
Ye intazaar ghalat hai ke shaam ho jaaye
Jo ho sake to abhii daur-e-jaam ho jaaye
*
Khudaa-na Khvaastaa piine lage jo vaaiz bhii
Hamaare vaaste piina haraam ho jaaye
*
Mujh jaise rind ko bhii tuu ne hashr men yaa rab
Bulaa liyaa hai to kuchh intezaam ho jaaye
*
Vo sahan-e-baag men aaye hain may-kashii ke liye
Khudaa kare ke har ik phuul jaam ho jaaye
*
Mujhe pasand nahiin iss pe gaam-zan honaa
Vo rah-guzar jo guzar-gaah-e-aam ho jaaye..

*

z_haidar 10.01.12 - 07:44am
Saaqi gaya to maikhaana gaya
paimaana gaya, yeh deewaana gaya
*
Mai fanaa hogaya, to yeh kya hogaya
woh deewaana gaya, ik zamaana gaya
*
Dil yeh raushan hi tha, jo ke bhujhtaa gaya
Woh pilaatey gaye, aur mai peeta gaya
*
Koi aake gaya, aur woh aisa gaya
Na bhoola gaya, na bhulaaya gaya..

*

z_haidar 11.01.12 - 06:50am
JissKa Saath Sari Duniya Chorr Deti Hai,
Unke Hatho Me Aksar Paayi Jati Hai Sharab,

*

Kabhi Bhi Apne Ghumon Ko Bhulna Ho To Keh Dena,
Kitne Bhi Bade Ghum Me Kisiko Bhi Hasati Hai Sharab...

*

Pankh Laga Ke Aasmaan Me Urr Jaate Hai Jo Panchi,
Do Ghoot Pee Lene Par Unhe Baho Me Le Aati Hai Sharab...

*

z_haidar 11.01.12 - 06:52am
Kyon samajhte ho tum sharaab meri kamzori hai,
jao poocho zara saaki se
kitne ghamon ko main ne dabaya hai jaam ke sahare,
main peeta nahin sirf nashe ke liye,
ye sharaab to meri saathi hai har shaam ke liye...

*

z_haidar 11.01.12 - 06:54am
Aye sharabi tu peeta jaa,
Tere paimaane main aaj dariya hai,
asar tere nashe ka dekhenge hum,
*
Tere peene ka aaj nazariya hai,t
ujh pe yeh ilzaam hai hoosh walon se,
*
Ki tu be-khabar madhosh dewaana hai,
aa sharabi pee ke sach bole ja,
tere haathon main aaj maikhana hai...




*

z_haidar 11.01.12 - 06:55am
Sharabi ilzaam sharaab ko deta hai,
ashiq ilz aam shabab ko deta hai...
*
Koi nahi karta, kabool apni bhool,
kanta bhi ilzaam gulaab ko deta hai...




*

z_haidar 11.01.12 - 06:56am
Dard is kadar mila ki ghabra ke pii gaye,
thodi si khushi mili to mila ke pii gaye,

*

yun to na thi bachpan se pine ki aadat,
sharaab ko tanha dekha taras kha ke pii gaye...




*

z_haidar 11.01.12 - 06:57am
Aisi Kiran Hoon,
Jise Suraj Ne Kabhi Apna Nahin Samjha,

*

Aisi Khushboo Hoon,
Jise Phoolon Ne Apna Na Samjha...

*

Aisi Dhadkan Hoon,
Jise Dil Ne Kabhi Apna Na Samjha,

*

Khushnaseeb,
Is Sharabi Ko Mehkhane Ne Apna Samjha...


*

z_haidar 11.01.12 - 06:58am
Madhosh hum raha karte hain,
ilzaam sharaab ko diya karte hain,

*

Kasoor sharaab ka nahi Unka hai,
jinka chehra hum har jaam mein talaash kiya karte hain...

*

z_haidar 11.01.12 - 06:59am
Ishq-E-Bewafai Ne Daal Di Hai Aadat Buri,
Main Bhi Sharif tha Zamane Mein,

*

Pehle Din Shuru Karta Tha Masjid Main Namaaz Se,
Ab Dhalti Hai Shaam Mehkhane Mein Sharab Se...
*

z_haidar 11.01.12 - 07:02am
Pine de thodi abhi ki hosh baki hai,
Tere yaadoN ka ek lamha baki hai,

*

Jana hai larkharate hue mehkhane se,
Pine de thodi in saanson mein jaan ab bhi baaki hain...


*

z_haidar 11.01.12 - 07:03am
Doosron ke liye kharaab sahi,
hamare liye to zindagi banti hai,

*

sau ghamon ko nichod ne ke bad hi to,
ek katra shaarab banti hai...

*

z_haidar 11.01.12 - 07:04am
Roz ashqon ke phasane nikle,
maikhane se sharaab ke deewane nikle...

*

jo dil ka haal samajh na paya,
kyon usko hum zakhm dikhane nikle..


*

z_haidar 11.01.12 - 07:05am
Jaam jo bhara sharab se, teri tasveer nazar aayi,
tori jo bottle, tukdon mian tasveer nazar aayi,

*

jab jorne lage hum un tukdo ko nashe mein,
mere khooon se bhari, teri maang mujhe nazar aayi...



*

z_haidar 11.01.12 - 07:06am
Charo taraf khamoshi ka saaya hai,
zindagi mein pyar kisne paaya hai,

*

hum tho yaadon mein jhoomte hai unki,
aur log kehta hai dekho aaj phir peeke ayaa hai...



*

z_haidar 11.01.12 - 07:07am
Fasl-e-gul hai sajaa hai maikhaana
chal mere dil khulaa hai maikhaana
*
maikhaana chal mere dil khula hai maikhaana

*
shaam ke waqt baithne ke liyeh sub se achi jagah hai maikhaana
chal mere dil khula hai maikhaana
*
maikhaana chal mere dil khula hai maikhaana
*
khat hai shayad kisi sharabi ka, khat ke ooper likha hai maikhaana
chal mere dil khula hai maikhaana
*
maikhaana chal mere dil khula hai maikhaana
*
kiss tarah chor doon isay waaiz, mushkilon se mila hai maikhaana
chal mere dil khula hai maikhaana
*
maikhaana chal mere dil khula hai maikhaana
*
zindagi jab guzaarni hai kaheen, yaar phir kya bura hai maikhaana
chal mere dil khula hai maikhaana
*
maikhaana chal mere dil khula hai maikhaana
*
jab se wo aankh khafa hum se, yoon lagay hai khafa hai maikhaana
chal mere dil khula hai maikhaana
*
maikhaana chal mere dil khula hai maikhaana..
*

z_haidar 11.01.12 - 07:10am
Badanaam mere pyaar kaa afsana hua hai
deewane bii kahte hain ki deewana hua hai ........

*

Rishta tha tabhi tou kisi be-dard ne todaa
apnaa tha tabhi tou koi be-gaanaa hua hai ........

*

Baadal ki tarah aake baras jaaiye ik din
dil aap ke hote huye viraana hua hai ....

*

Bajte hain Khayaalon mein teri yaad ke ghunghroo
kuch din se mera ghar bhi pari-Khaanaa hua hai .....

*

Mausam ne banaya hai nigaahon ko sharaabi
jis phool ko dekhun wahi paimana hua hai ...


*

z_haidar 11.01.12 - 07:12am
jab kabhi ghutane lagaa seene mein dam, pi hai sharaab
zabt ki had se barhe jab ranj-o-gham, pi hai sharaab
*
ek to charhati javaani kaa nashaa hi kam na thaa
dusare us par ye Dhaayaa hai sitam, pi hai sharaab
*
mujh pe ilzaam-e-balaanoshi saraasar hai ghalat
jis qadar aansoo piye hain us se kam, pi hai sharaab
*
jab kabhi saaqi se ae ('Z') nigaahen mil gain
tor kar main ne na pine ki qasam, pi hai sharaab..

*

z_haidar 11.01.12 - 07:16am
maiN tashna-lab tha magar band band thii botal!
uThii jo aaNkh kisii kii to khul gayee botal!!!
*
mire Khumaar ko darkaar thaa to bas itnaa
kabhii kabhii voh nigaaheN, kabhii kabhii botal!
*
hare bhare mire armaaN, hare bhare sapne
magar na haath meiN aa'ii 'harii bharii' botal
*
tumhaarii ''neem-nigaahii'' ne maar maar diyaa!
khaTak rahii hai nazar meiN voh ''adh-khulii'' botal!!!
*
ghuTii ghuTii si suraahii, dabii dabii si sharaab
hameN to chaahiye ik ''jeeti jaagtii'' botal!
*
jhijak jhijak si rahii thii magar, Khudaa rakkhe,
juNhii khulii to chhalaktii chalii gayee botal!
*
lagaaya haath to sharmaa ke kuchh simaT si gayee!
bharaa jo ghooNT to yak-dam machal gayee botal!!!
*
Khumaar rooh ko hotaa to lehraataa!
''nashaa sharaab meiN hotaa to naachtii botal''!
*
na poochhiye ke dil-e-Gham-zadah pe kyaa beetii?
udoo ke haath meiN dekhii jo Qais kii botal!


*

z_haidar 11.01.12 - 07:17am
may rahe miinaa rahe gardish mein paimaanaa rahe
mere saaqii tuu rahe aabaad mayaKhaanaa rahe
*
hashr bhii to ho chukaa ruKh se nahiin haTatii naqaab
had bhii aaKhir kuchh hai kab tak koii diivaanaa rahe
*
raat ko jaa baiThate hain roz ham majanuuN ke paas
pahale to anaban rah chukii hai ab to yaaraanaa rahe
*
zindagii kaa lutf ho uratii rahe haradam 'Z'
ham hon shiishe kii parii ho ghar pariiKhaanaa rahe,..


*

z_haidar 11.01.12 - 07:18am
hai ishq pechan, wabal saqi
ke zindagi, hai mahal saqi
*
bahak raha hon, khumar mai hai
ke tera husn-o-jamal saqi
*
qadam larazte hein raste mein
sambhal saqi, sambhal saqi
*
ke gam guzishta, rahen salamat
yehi neerang khayal saqi
*
teri nigah ki jo taab laye
hai dil ki aisi majal saqi?
*
jo khud pe qabo, bohat hai tujh ko
to mujh ko dil se nikal saqi!
*
bala-e-jaan ke hazar piale!
aur aik tera khayal saqi
*
tu hi sada-e-bala giriftan
tu hi hamara sawal saqi
*
teri nazar ka hai shakhsana
ye aik lamha, kamal saqi..


*

z_haidar 11.01.12 - 07:19am
Kisi Ke Aate He Saqi Ke Aise Hosh Urre
Sharab Seekh Pe Dali Kabab Botal Main


Bazam-e-Ushaaq Ki Kar Di Saqi Ne khud Tameez
Jaam Bhar Ke Keh Diya Tera, Tumhara, Aap Ka..

*

z_haidar 11.01.12 - 07:22am
tabiiyat in dinon begaanaa-e-Gam hotii jaatii hai
mere hisse kii goyaa har Khushii kam hotiii jaatii hai
*
vahii hai shaahid-o-saaqii, magar dil bujhataa jaataa hai
vahii hai shammaa lekin roshanii kam hotii jaatii hai
*
qayaamat kya ye ae husn-e-do aalam hotii jaatii hai
ke mahafil to wahii hai, dil_kashii kam hotii jaatii hai
*
vahii maikhaana-o-sahabaa, vahii saaGar wahii shiishaa
magar aavaaz-e-noshaanosh maddham hotii jaatii hai
*
vahii hai zindagii lekin 'Z' ye haal hai apanaa
ke jaise zindagii se zindagii kam hotii jaatii hai...

*

z_haidar 11.01.12 - 07:24am
Ji Chahe To Sheesha Ban Ja, Ji Chahe Paimana Ban Ja
Sheesha Paimana kya Banna, Mai Ban Ja Maikhana Ban Ja..

*
Mai Ban Kar, Maikhana Ban Kar Masti Ka Afsana Ban Ja
Masti Ka Afsana Bankar Hasti Se Begaana Ban Ja

*
Hasti Se Bagaana Hona Masti Ka Afsana Banna
Is Hone Se Is Banne Se Achha Hai Deewana Ban Ja

*
Deewana Ban Jane Se Deewana Hona Achha Hai
Deewana Hone Se Achha Khak e Dar e Janana Ban Ja

*
Khak e Dar e Janana Kya Hai Ahle Dil Ki Annkh Ka Surma
Shama e Dil Ki Thandak Ban Ja Noor e Dil e Parwana Ban Ja

*
Seekh 'Z' ke Dil Se Jalna Kahe Ko Har Shamma Par Jalna
Apni Aag Mein Khud Jal Jaye Tu Aisa Parwana Ban Ja...




*

1-> 7->>


* Reply
* UrdUMaG Forum


Search:
topics replies


* UrdUMaG

Create Your Own App Store

topTop
groupsGroups
mainProdigits

Create Your Own App Store