Mobi Groups
Download Free Apps & Games @ PHONEKY.com

UrdUMaG - Topics
Create Your Own App Store

* UrdUMaG > Topics


Subject: Rubyzzz.cute asha'ar
Replies: 6 Views: 546

rubyzzz 2.10.12 - 01:18pm
Log muntizr thay k mujy totta dekheingay!
Main zabt kerty kerty pathar ka ho gea!
*
Rafaktun k na'nay khawab khushnama hen magr,
guzar chuka tere aitbar ka masum.
*
Halaat mere mujh se na malom kejieay!
Muddat hoe ha mujh se mera taluq nahe.
*
ik had may sath thay to beyhad hoay qareb,
beyhad hoay to qurb ka qissa hoa tamam. *

xxkamixx 3.10.12 - 12:19am
Rang feryaadi hay kis ki shokhi e tehreer ka

Kaghazi hay perahun her paiker e tasveer ka
*
is ko mein shohrat kahu,n ya apni ruswaai kahu,n

Us gali mein mujh se pehle mere afsaane gaye
*
Youn pukarein hein mujhe koocha e jana wale

Idher aa bay abbay o chaak girebaa,n wale
*
Rakhna hay kaheen paao,n to rakho ho kahee,n paao,n

Chalna abhi aaya hay to iteraay chali ho
*
Chashm e saqi se piyo ya lab e sagher se piyo

Be khudi aatho,n payher ho ye zaroori to nahi
*
Saamne duniya,n bher ke gham hein or idher ik tanha hum

Sainkado pather aik aaiyna kab ta akher kab tak
*
Ye nishaan e ishq hein jaate nahi

Dagh seene ke abas dhota hay kia *

z_haidar 3.10.12 - 04:21am
hmmmmm reading2.GIF *

z_haidar 3.10.12 - 04:22am
ye meri gazlen ye meri nazmain tamam teri hikayaten hain
ye tazkary teri lutf k hain ye sher teri shikayaten hain

*

main sab teri nazr kar raha hun ye un zamanon ki s'aten hain
jo zindagi k naye safar main tujhe kisi roz yad ayen

*

to ek ek harf ji uthega pahan k anfas ki qabayen
udas tanahaiyon k lamhon main nach uthengi ye apasarayen

*

mujhe teri dard k alava bhi aur dukh the, ye janta hun
hazar gam the jo zindagi ki talash main the, ye janta hun

*

mujhe khabar hai ki teri anchal main dard ki ret chanta hun
magar har ek bar tujh ko chu kar ye ret rang-e-hina bani hai

*

ye zakhm gulzar ban gaye hain ye ahen-sozan ghata bani hai
ye dard mauj-e-saba hua hai ye ag dil ki sada bani hai

*

aur ab ye sari mata-e-hasti ye phul ye zakhm sab tere hain
ye dukh k nauhe ye sukh k nagmain jo kal mere the vo ab tere hain

*

jo teri qurbat teri judai main kat gaye roz-o-shab tere hain
vo tera shayar tera muganni vo jis ki baten ajib si thi

*

vo jis k andaz khusro-vana the aur adayen garib si thin
vo jis k jine ki khvahishen bhi khud us k apne nasib si thin

*

na puch us ka ki vo divana bahut dinon ka ujar chuka hai
vo kohakan to nahin tha lekin kari chattanon se lar chuka hai
vo thak chuka hai aur us ka tesha usi k sehan main gar chuka hai..
*

rubyzzz 5.10.12 - 01:03pm
Good one *

kanval 5.10.12 - 02:59pm
nnyyyccc *

samina11 6.10.12 - 01:45pm
Jab pyaar kisi se hota hai kya shokh zamane lagte hain,
Marne ke sahaarey milte hain jeene ke bahane milte hain,
*
Mehfil mein kabhi jo log humain ik aankh utha kar na dekhen,
Woh tanhaiyon mein aa ke humain kyon itne suhaney lagte hain,
*
Bachpan ki umangon ke rukh se phir kya kya aanchal uthte hain,
Maazi ke khayalon mein hum ko jab yaar puraney milte hain,
*
Yeh rahguzar hai ulfat ki, yahan pass kahan, ehsaas kahan,
Yahan hamrahi apne apne dukh dard sunaney milte hain,
*
Yun tanha tanha kuch bhi nahin chahat ka bane tab peerahn,
Jab husn aur ishq ke aapas mein sab taaney baaney milte hain,
*
Gar baat barhi to phir kya hai? aye jane tamana! dar kesa ?
Pardon mein rehne walon ke kya kya na fasaney milte hain,
*
Kuch tanha tanha Saaqi bhi rehte hain khayalon mein kho kar,
Jab taaza ghazal keh lete hain phir hum ko sunaney milte hain..


*


* Reply
* UrdUMaG Forum


Search:
topics replies


* UrdUMaG

Create Your Own App Store

topTop
groupsGroups
mainProdigits

Create Your Own App Store